Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hun main bhi
mujh ko pehchan ki teri hi ada hun main bhi
ek tujh se hi nahi fasl-e-tamanna shadab
wohi mausam hun wohi aab-o-hava hun main bhi
sabt hun dast-e-khamoshi pe hina ke surat
nashunida hi sahi tera kaha hun main bhi
chand ban kar tere aangan mein utar hi jaun
raat ke pichale pahar mangi dua hun main bhi
yun na murjha ki mujhe khud pe bharosa na rahe
pichale mausam mein tere sath khila hun main bhi
jane kis reh chalun kon se rukh mud jaun
mujh se mat mil ki zamane ke hawa hun main bhi..
No comments:
Post a Comment