Hi Friends, Welcome to Golden Shayari. Here you find all type of Shayari, Hindi Shayari, Sms Shayari, Love shyari, Shero Shayari , Sad Shayari, Friendship Shayari, Shayari in Hindi, Bewafa Shayari, Urdu shero shayari, Dard shayari, dil shayari, santa shayari, Shero Shayari, Urdu Shayari, Punjabi Shayari, Friendship Shayari, Birthday Shayari, English Shayari, Love Shayari.Please Leave Your Comment And Feedback So We Post More Some Golden Shayari Daily For All Of You.
Friday, 24 August 2012
Yeh tum se keh diya kis ne. . .
Yeh tum se keh diya kis ne. . .
Kay tum bin reh nahi saktay. . .
Yeh dukh, hum seh nahi saktay. . .
Chalo, hum maan laitay hain. . .
Kay tum bin, hum buhat roye. . .
Ke raaton ko na soye. . .
Magar, afsos hai jana. . .
Kay ab kay tum jo lotoo gey. . .
Humain tabdeel paao gey. . .
Buhat mayoos hogey tum. . .
Kay agar poch na chaho kay,
Aisa kyon kiya hum ne. . .
To sunn loo ghour se jana. . .
Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne…
Mohabbat chhour di hum ne…
Haan. . .
” mohabbat choour di hum ne…
mohabbat choour di hum ne…
aankh se duur na ho
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
SheeshEy ki tarah tUt k giRne
SheeshEy ki tarah tUt k giRne
naHi deTa..!
Yeh zabT mEra mUjh k0 biKherne
naHi deTa..!
Rehne nahi deTa mUjhe paLk0n
k kinaRe..!
Ankh0n k samandaR mein utArne
naHi deTA…!
Hai naam-E-m0habbat se
adawaT usay leKin...!
Dum mujh k0 bhi m0habbaT ka
w0h bahRne nahi deTa…!
Milta hai har bar naye bhaiS
badaL kaR…!
Ik SHAKs mujhe khuD se
biCharne naHi deTa…!!!!
Tum Jo Hastey Ho To Phoolon
Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho
Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho
Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho
Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho
Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho
Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho.
Bekarar-e-ishq ki madhosh
Bekarar-e-ishq ki madhosh dhadkano mein samane lage ho,
Kuch iss tarah tum humko humise churane lage ho !!!
Be-intaha mohabat ka suroor jo chhaya hain jism mein,
Uss suroor ko apne pyaar se bhigone lage ho !!!
Sansaanati baarish ki rhimjhim madhoshi mein,
ab tum hi chaane lage ho !!!
Tadapti hain yeh aahein tere Milan ki aas mein,
Inhi aaho ko ab tum jaanke tadpaane lage ho !!!
Kamosh Zabaan Ke
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?
Asar dil per karay shikwa,
Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!
Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!
…
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,
talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho_____
Woh Waqt Aisa Tha K
Woh Waqt Aisa Tha K Judai Zaroori Thi,
Muhabbat Ki Zanjeeron Say Rehayi Zaroori Thi,
Rasam-e-Muhabbat Nibhayi Phir B Ilzam Mila,
Is Liye Muhabbat Mein Thori Bewafi Zaroori Thi,
Bheer Mein Reh Kr B Akele Hi Rahe Hum,
Zindagi Mein Humari Tanhai Zaroori Thi,
Hamesha Hum Hi Q Saza Payan,
Us K Liye B Thori Ruswai Zaroori Thi,
Ek Ek Lafaz Dhoond Kr Ki Thi Mukamal,
Par Humari Khani Aaj B Adhori Hai,
Kal B Adhuri Thi.......!!!!!!!!!!!!
Meri sochon ke harpal mein
Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,
Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,
Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,
Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,
In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,
Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,
Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
? Tum mere HUMSAFAR ho?, jab keh kar jaati ho___
Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye
Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye
Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?
Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye
Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye
Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?????
Tere “KHYAL” ko “
Tere “KHYAL” ko “DIL” se kabi Juda na karoon.
Tere Bagher to mein “SAANS” bhi Liya na karoon.
Jo tu Mila to mujhe Mashwara diya “DIL” ne.
K Ab “KHUDA” se koi or “ILTEJA” na karoon.
Mujhy Yaqeen hai k “SURAJ” kabi “TALOU” na ho.
Jo tere “NAAM” se mein “DIN” ki “IBTEDA” na karoon.
WAFA” ki Rahon mein Rakh to diya hai mein ne “QADAM.
Ab apni “JAAN” b Jaye tu mein “GILA” na karoon.
Jahan Phoolon ko Khilna Tha
Jahan Phoolon ko Khilna Tha Wahin Khiltey To Acha Tha
" Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhi Miltey To Acha Tha... !
Koi Aa kar Humein Pooche Tumhein Kaise Bhulaya Hai
Tumhare Khat ko Ashkon se Shab-e-Gham mein Jalaya Hai
Hazaron Zakhm Aise Hain Agar Silte To Acha Tha
" Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhi Miltey To Acha Tha "
Tumhein Jitna Bhulaya Hai Tumhari Yaad aayi Hai
Bahar-e-No Jo Aayi Hai Wohi Khusboo Bhi Laayi Hai
Tumhare Lab Meri Khatir Agar Hiltey To Acha Tha
" Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhi Miltey To Acha Tha "
Mila Hai Lutf Bhi Humko Haseen Yaadon ki Jhilmil Mein
Kati Hai Zindagi Tum Bin Magar Ek Aas Hai Dil Mein
Agar Aate To Acha Tha Agar Miltey To Acha Tha
" Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhi Miltey To Acha Tha "
Tumhi Ko Humne Chaha Tha..
Teri Judai Ke Baad
Teri Judai Ke Baad
TERI JUDAI KE BAAD
"Ashkbaar rehne lagi aankhe,
teri judai ke baad...
zakhm sehne lagi saanse,
teri judai ke baad...
dil jese toot sa gaya ho!!!
umeed ka daman choot sa gaya ho!!
sawal ? karne lagi yaade,
teri judai ke baad...
sawere mien siyaahi !!!
qaid lagne lagi rihai !!!
khud aap karne laga baatie,
teri judai ke baad...
shab bhar nahi milti palkein !!!
karvat badal badal har rukh simtien !!!
ratjago se karne laga vaadie,
teri judai ke baad...
ashkbaar rehne lagi aankhe,
teri judai ke baad...
zakhm sehne lagi saanse,
teri judai ke baad...
Tera Zikar Bhi Karna Chhor Diya
Tera Zikar Bhi Karna Chhor Diya
Ab Hum Ne Rona Chhor Diya
Jab Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chhor Diya
Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye
Ab Dil Ko Lagaana Chhor Diya
Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chhor Diya
Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chhor Diya.....
Mujh Se Door Door Na Reh
Mujh Se Door Door Na Reh,Or Mujh
Se Koi Hijaab Na Rakh,
Rakh Wohi Purana Tareeka, Naye
Naye Hisaab Na Rakh,
Taras Gay Naina Mere Tere Deedar Ko,
Tarpa Hun Pehle Bahut, Or Mubtala
E Azaab Na Rakh,
Ishq Aik Janoon Hai, Or Janoon Koi Gunnah Nahe,
Likha Hai Jis Men Gunnah Yeh, Aisi Koi Kitaab Na Rakh,
Badla Badla Lehja Tera, Andaz E Guftagu Bhi,
Rakh Wohi Andaz Pehla, Be Rukhi Janaab Na Rakh,
Han..! Badal Geya Hun Main Bhi Ab,
Kisi Ne Mujhy Badal Deya Hai,
Chor Diya Hai Pena Saqi, Mere
Agay Ab Sharaab Na Rakh...!
teri ulfat ne toh diwana
teri ulfat ne toh diwana bana rakha hai,
aur logo ne bhi afsana bana rakha hai,
aandhiyaan tez chalein bujh na sakega phir bhi,
khoon-e-dil se jo diya hum ne jala rakha hai
unn se khud unnki jafaon ka gila kai karein,
hum ne aanhon ko bhi seene mein daba rakha hai
woh joh kaatil hai sitamgar hai mohabbat ka meri,
hum ne unwaan-e-gazal ussko bana rakha hai
ban ke anjaan sar-e-bazm woh mujh se bole,
ishq mein kis ke bura haal bana rakha hai
kaun kehta hai tujhko bhool gaya hai dil,
teri yaad ko toh humne emaan bana rakha hai..
Subscribe to:
Posts (Atom)