Saturday, 18 August 2012

Haan Pyar Nahi Ishq Nahi

Haan Pyar Nahi Ishq Nahi Ibadat Kii Hain
Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Bagawat Kii Hain
Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko
Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Kii Hain
Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Diya Hai Duniya Ko
Main Ne Bhi Ter
e Liye Duniya Se Adaawat Ki Hai
Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya He Khush Bukhti
Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai
Karoon Main Kaisy Adaa Shuker Iss Nawazish Ka
Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai
Khud Se Bhi Bar Ker Main Ne Tujhe Chahat Ki Hain
Haan Pyarr Nahi, Ishq Nahi, Ibadaat Ki Hain


Is jahan ki nahi hai tumhari

Is jahan ki nahi hai tumhari ankhen,aasma se ye kisne utari ankhen,

aaye hain ham jahan me tumhare liye,hai tumhare liye hi hamarai ankhen,
do jahan de ke le lun to sasti hai ye,do jahan se bhi payari tumhari ankhen,
asmaa se ye kisne...
Duniya walo se rakhna bacha ker inhe,na chura le koi ye tumhari ankhen,
hai tumhare liye hi...
Rahte ho ankho me tum hi tum raat din,ab to ghar hai tumhara hamari ankhen,
asmaa se ye kisne utari ankhen...


Tᑌ KITᑎᗩ Kᕼᑌᔕᕼ KIᔕᗩᗰᗩT ᕼᗩY

Tᑌ KITᑎᗩ Kᕼᑌᔕᕼ KIᔕᗩᗰᗩT ᕼᗩY 
ᕼEᖇ ᖇOᘔ ᑌᔕ K ᗩᗩᑎGᗩᑎ ᗰEIᑎ ᒍᗩ ᑌTᗩᖇTᗩ ᕼᗩY 
TEᖇI ᑎᗩᖇᗰ ᑎᗩᖇᗰ KIᖇᑎO Kᗩ ᗩKᔕ ᗰᑌᒍᕼE 
ᑌᔕ K ᑕᕼᗩIᖇE ᑭEᖇ ᗪEKᕼᗩI ᗪETᗩ ᕼᗩY 
ᗰOᑌᔕᗩᗰ KOI ᗷ ᕼO ᗯOᕼ ᗰᑌᒍᕼE ᗷᗩᕼᗩᗩᖇ ᒪᗩGTᗩ ᕼᗩY ᕼYE ᑕᕼᗩᑎᗪᗩ! 
ᗰEᖇᗩ ᗷ EK Kᗩᗩᗰ KEᖇᑎᗩ 
TᑌᒍᕼE TEᖇI ᑕᕼᗩᑎᗪᑎI KI Kᗩᔕᗩᗰ ᕼᗩY 
ᗩᗷ Tᑌ ᒍᗩᗷ ᗷ ᑌᔕ K ᗩᗩᑎGᗩᑎ ᗰEIᑎ ᒍᗩYE 
ᗩᑭᑎE ᔕᗩᗩTᕼ ᗰᑌᒍᕼE ᗷ ᒪE ᒍᗩᑎᗩ 
ᗰᗩIᑎ ᑎE ᔕIᖇᖴ YEᗩᕼ ᗪEKᕼᑎᗩ ᕼᗩY K 
Tᑌ KᕼOOᗷᔕᑌᖇᗩT ᕼᗩY Yᗩ ᗰEᖇᗩ ᗰEᕼᗷOOᗷ 


Ek pyari si surat,

Ek pyari si surat, 
Ek masum sa chehra, 
Do jheel si ankhe, 
Kuchh mithi mithi baate 
Ek nazuk ada, 
Kuchh masti kuchh maza, 
Thodi si shrarat, 
Bahut sari mohabbat, 
Ek bholi si muskan, 
Ooncha urnay ka armaan, 
Sabse alag sabse juda, 
Jiski hai pyari har ek ada… 
Kahin wo TUM tho nahi…


Khuda ne “MAA” se sawal

Khuda ne “MAA” se sawal
kiya ki agar aapke
kadmo se jannat le li
jaye…
or
Aapse kaha jaye ki kuch
or mang lo to
Aap khuda se kya
mangoge?
to “MAA” ne bahut
khubsurat jawab diya ki
Me apni aulaad ka
NASEEB
apne hath se likhne ka
haq mangungi
unki khushi ke aage
mere liye
HAR jannat choti hai.
This is called “MAA”.. AndI love my
mom..!
♥ Love U Maa ♥


Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain

Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain
Hamara Dil Churaye Baithe Hain
Humne Unse Kaha Hamara Dil Hume Lauta Do
To Bole Hum To Hatho Mein Mehendi Laga Ke Baithe Hain…!!


Aksar Log Yeh Kehte Hain,

Aksar Log Yeh Kehte Hain,
Are “Ali” Tu Shayar Ho Gaya Hai,
Lafzon Ko Bhithana Aadat Hai Teri,
Main Shayar Nahi Ashiq Hoon Tera ,
Teri Adaon Pe Gungunana Bas Aadat hai Meri…!!!

Husn Afroz Kahaan Tak

Husn Afroz Kahaan Tak Bhalaa Chhupaaougey? 
Na Sahee Aaj, Kabhee To Nazar Mein Aaougey? 
Chaandnee Raat Mein, Mahtaab Chhupeygaa Kaisey? 
Naqaab-E-Abra Kahaan Hai, Ki, Audhh Paaougey?


Ankhon Mein Sama Jao,


Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna
Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna
Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
 

Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
 

Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
 

Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna !!!
 


Daloon main kamroon

Daloon main kamroon main uljhaye huye rakhna
kuch kam main apne ko bahlaye huye rakhana
duniya ke masail main ulajha huwa jab aon
tum ghar ke masail ko suljhaye huye rakhana
sandok ke kaproon ko kuch dhop dikha dena
tum sahan main jare ko phailaye huye rakhana
mai dhop ke sahra se jhulasa huwa aoonga
shano pe ghaTaoo ko Thahraye huye rakhana
ho jaye kabhi shab main bachoon se bhi do batain
pariyoon ki kahani ko dohraye huye rakhana
dhoondhala na kahi kar de kuch ghar ki pareshani
aina-e-ruKh apna chamkaye huye rakhana


Gulaabon Se Lipati

Gulaabon Se Lipati Shabnam Ki Taraah
Usaki Adaayein Hai Mausam Ki Taraah
Sheeshe Sa Badan Naadaan Dil
Ek Ladki Hai Gazal Ki Taraah
Palkon Pe Ruki Woh Meri Zindagi
Milati Hai Mujhse Kwhabon Ki Taraah
Thoda Jo Mujhse Bhaithi Hai Duur
Chaahaa Hai Use Zindagi Ki Taraah
Banke Badal Jo Dil Pe Chaayi Hai
Aankhon Mein Bikhari Thi Kajaal Ki Taraah
Jaanegi Jab Meri Mohobbat Ki Intehaa
Dhundegi Woh Mujhe Deewaano Ki Taraah
Kehate Hai Log “Pyar” Jise
Hamne Woh Kiyaa Ibaadat Ki Taraah


Chand Sa Chehra Dekhne

Chand Sa Chehra Dekhne Ki Ijazat De Do
Mujhe Ye Sham Sajane Ke Ijazat De Do
Mujhe Qaid Karlo Apne Ishq Main
Ya Mujhe Ishq Karne Ke Ijazat De Do..!!


Ek Zarra Main,

Ek Zarra Main, Gardish Hai Wo
Ek Katra Main, Baarish Hai Wo
Kaise Karu Chahat E Khata
Har Nazar Ki Khwahish Hai Wo
Pighal Jayega Vajood Mera
Ek Aisi Tapish Haiwo
Kaise Kardu Jaan Fana
Ek Sharara Main, Aatish Hai Wo
Jhuk Raha Hai Dil Mera
Jani Pehchani Kashish Hai Wo
Kaise Ho Jau Qaid E Tamanna
Ek Parinda Main, Bandish Hai Wo
Pana Aur Khona Komal”
Taqdeer Ki Navazish Hai Ab Toh
Kaise Kahu, Padh Le Ey Khuda
Ek Lifafa Main, Guzarish Hai Wo
Ek Zarra Main, Gardish Hai Wo
Ek Katra Main, Baarish Hai Wo
Kaise Karu Chahat E Khata
Har Nazar Ki Khwahish Hai Wo


E Maut Jara Dhire Se

E Maut Jara Dhire Se Aa, Ek Kam Zara Sa Baki Hai
Unko Khat Ek Likhna Hai,Paigam Zara Sa Baki Hai
Wo Samjenge Thi Bewafa,Intejar Bhi Na Kar Saki
Marne Se Pehle Ek Baar, Ikraar Bhi Na Kar Saki
Iltija Meri Manke,Thoda Sa Waqt Aur De De Khuda
Meri Prem Kahani Ka, Anjam Zara Sa Baki Hai
Apna Dard Batane De,Ek Nagma Mujko Gaane De
Sanam’ Ke Dard Ka Mausam,Unko Jara Sunane De
Janti Hu Waqt Karib Hai, Ab Na Koi Apna Rakib Hai Par
Jo Har Roj Pite Hai Gam Ka, Wo Jam Zara Sa Baki Hai
Unhe Ab Tak Malum Nahi Ki Apni Sanse Kuchh Hi Baki Hai
Jo Aate Hai Unhe Dekhne Ko,Wo Ansu Kuchh Hi Baki Hai
Wo Ab Tak Na Aaye Mehfil Me, Ab Tak Deedar Baki Hai
Usne Ab Tak Muje Bewafa NaKaha,Ilzam Zara Sa Baki Hai..!!


'( Tha Main Neend me

:'( Tha Main Neend me Aur Mujhe Itna Sajaya ja Raha tha :'(
:'( :'( Bade hi Pyaar se Mujhe Nehlaaya Ja raha Tha :'( :'(
Na jane tha wo kounsa ajab khail mere Ghar me,
Baccho ki tarah mujhe Kaandhe pe uthaya ja raha tha,
Tha paas Mere mera Har Apna us waqt,
Phir bhi mai har kisi k muh se bulaya Ja raha tha,
Jo kabhi daikhte bhi na the Muhabbat ki Nigah se,
Un k dil se bhi pyaar mujh pe lutaya ja raha tha,
Maloom nahi hairan tha har koi mujhe sote hue Daikh kar,
Zor zor se ro kar Mujhe hasaya Ja raha tha,
Kaanp uthi meri Rooh mera wo makan Daikh kar,
Pata chala Jab mujhe Dafnaya Ja raha tha,
Ro pada phir main bhi mera wo Manzar daikh kar,
Jahan mujhe hamesha k liye SulayaJa raha tha,
Muhabbat ki inteha thi jin dilo me mere liye,
Usi ghar se Aaj main aik pal me bhulaya Ja raha tha,
:'( Tha Main Neend me Aur Mujhe Itna Sajaya ja Raha tha :'(
:'( :'( Bade hi Pyaar se Mujhe Nehlaaya Ja raha Tha[:'( :'(


Ek Larki Sundar Komal Si.

Ek Larki Sundar Komal Si....
Jo Khud Ko Baarish Kehti Hai....

Har Mousam Us Ka Mousam Hai....
Woh Mujh Pe Barsa Karti Hai....!


Na jane kab ye hua, na kisi

Na jane kab ye hua, na kisi ko khbar... Na khud ko pata...

Khoye-khoye rhte hum yaha h..
Silsilo ka silsila h.. Hua shuru ab jo nikle bhi jaan h..
Ab se h hum rahi chahto ke...
Ye jaise phla nasha, wo phli nazar, phla khumar...
Kyu lage mohabbat hi jaha h...
Dosto ki dosti, yaaro ki yaari kam lagne lagi...
Bahke h hum, bahka ye sama h....
.Kaise samjhau tumhe mera phla-phla pyar h ye...

Aankho me aitbar h ye...
Mera phla-phla pyar h ye....


Tum Jo Hastey Ho To Phoolon

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho
.
Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho
.
Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho
.
Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho
.
Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho
.
Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho.~~


Hai nasib ki baate

Hai nasib ki baate dukh kisi ko nhi,

Ye dunia bdi bewfa h ye kisi ki nhi,

Roshniyo par garoor kabhi na karna,

Chirag sab k bujhenge ye hawa kisi ki nhi.




Source: http://www.lovesove.com/hai-nasib-ki-baate-dukh-kisi-ko-nhi


Teri Awaz Tere Roop Ki

Teri Awaz Tere Roop Ki Pahchan Hai

Tere Dil Ki Dhadkan Me Dil Ki Jaan Hai

Na Sunu Jis Din Teri Bate

Lagta Hai Us Roz Ye Jism Hi Bejaan Hai