Mere Khwaabon Ke Jannat Ka Nazaraa Hain Teri Aankhen
Hujuum-E-Ghum Mein Khushiyon Ka Ishaara Hain Teri Aankhen
Yeh Pech-O-Kham Jo Zulfon Ka Kabhii Maathe Pee Lehraaye
Jabeen-E-Arsh Pee Goyaa Ghataa Kaali Se Bal Khaaye
Teri Baaten Hain Jaise Chaandnii Tariikh Raaton Mein
Tabassum Ye Tera Jaise Ke Sehra Mein Ho Barsaatein
Tujhe Her Rang Her Andaaz Mein Maine Hasiin Paaya
Bohat Hain Maahjabiin Dekhe Kahiin Tujhsa Nahiin Paaya
Tu Woh Tasveer Hai Jiska Mussavir Khud Bhee Hairaan Hain
Tu Kyaa Hai Khud Naeen Tu Jaanti, Haaye , Itni Naadaan Hai
Mujhe Yeh Ilm Hai Tumne Bohat Sadme Uthaaye Hain
Tumhari Zeest Par Haavi Ghum-E-Dauraan Ke Saaye Hain
Baraa Jee Chahta Hai Tujhko Baahon Mein Chhupa Luun Main
Tere Har Dard Ko Apne Kalejey Se Lagaa Luun Main
Tere Pairon Ke Kaante Apni Palkon Se Uthaa Luun Main
Meri Jaanaan Jo Ho Mumkin Tujhe Apna Banaa Luun Main
Muhabbat Tujhse Hai Itni Ke Main Batlaa Nahiin Sakta
No comments:
Post a Comment