Monday, 13 August 2012

Khuda Karay Kay Meri

Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray
Woh Fasl-e-Gul Jissay Andesha-e-Zawwal Na Ho

Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon
Yahan Say Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho

Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Kay Jisski Koi Misaal Na Ho

Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-e-Wiqar-e-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-e-Mah o Saal Na Ho
*********************************♥♥

kush naseeb hai hum

kush naseeb hai hum
hume aap jaise dost mile
kya taarif kare aapki
jitna b kare utna kam lagtha
my chiraag hotho tum roshni ho
my gulab hotho tum khushbu ho
my raat hotho tum chand ho
iss pyasi baari zindigi me paani bankar aaye ho tum
mushkil hon k waqt me haat taam kar himmat dethe ho aap
doop me chaya bankar hamesha saat rythe ho aap
kabhi aane na diya aankhome aansu
jab se tumhe mila tab se chehre pe muskurahat phir laut aayi
hai mere dost “wada kartha hu my..kuch bhi hojaye my tere saath na chodunga”….


Naadan Hai Mujhe Patthar Dil

Naadan Hai Mujhe Patthar Dil

Bataane Waale
Shaayad Bhul Gaye Hain Ek Baat Ye
Zamaane Waale
Patthar Ki Keemat Un Haathon Se
Pucho… Taraash Ke Tajmahal Bana Gye Jo
Banaane Waale