Wednesday, 3 October 2012

Asar dil per karay shikwa,

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MOHABAT ho to aisi ho..!!!


Raste badal jate hai

Raste badal jate hai manzile badal jaati
hai
kyu nahi badalte dil jo taqdeere badal
jaati hai
dil wo hi rehta hai yaado ki dor me
bandha hua
ankho ki nami chupa kar nazre badal
jaati hai
rooh rehti hai har lamha ashkbar lab
haste hai
bahar or ander ki kis tarha fizaye badal
jaati hai
kyu koi hota hai rafta rafta zindagi se
bohat door
hatho ki lakeere kyu aksar badal jaati
hai.....


Suno Humsafar

Suno Humsafar
Saath Tumhara Dena Hai,
Or Saath Tumhara Pana Hai
Pathron K Is Shehar Me,
Ek Kanch Ka Ghar Banana Hai
Aasmano Pe Jo Rishta Bana,
Use Duniya Me Nibhana Hai
Tum Rooth K Mujh Se Mat Jao,
Mujhe Sath Tumhara Aana Hai
Tum Laut K Wapis Aa Jao,
Mujhe "Zindagi" Tumhein Banana
Hai
suno humsafar...


Tu Zindaa Hai Mere

Tu Zindaa Hai Mere Dost Jindagi Ki Baat Kar
Ai Mere Yaar Mood Bana "Mausiki Ki Baat Kar"

Kuch Aisa Likh Jo Dil Me Utar Jaye Nazar Bhar Me
Khuda Ne Dil Tuje Diya Hai "Dillagi Ki Baat Kar"

Jasbaat Aise Jaga De Jo Unke Dil Ko Chhu Le
Pyar Kiya Hai Dost "Bandagi Ki Baat Kar"

Aansu Chhipa Ke Tujko Duniya Ko Hasana Hai
Chhed Khushiyon Ke Tarane "Mastagi Ki Baat Kar"

Har Ek Insaani Bachcha Tere Pyaar Ke Kaabil Hai
Siraf Ek Ka Tu Chhod Ab "Poori Duniya Se Pyaar Kar"
 


Sath roti thi mere sath

Sath roti thi mere sath hasa krti thi, wo jo mere dil me basa krti thi..

Meri chahat ki talbgar thi is kadar ki,
Har waqt milne ki dua kiya krti thi..

1 pal ka bhichdna b gawara na tha use, Rote rote mujh se juda hoti thi..

Mere dil me rhi wo dhadkan ban kr, Aur saye ki tarah sath chala krti the..

Rog-e-dil jo laga bethi thi anjane me, Mere aagosh me mrne ki
dua krti thi..

Galati meri hai jo juda ho gaye hum, warna wo to mujhe takdir kaha krti thi..!
 


Mere pagal Piya Meri

Mere pagal Piya Meri chahat na kar
Mere pagal Piya Meri chahat na kar
Mujhey dekha na kar Mujha sochaa na
kar
Meri Be Khawab Aankhon mein na janka
kar
Mein to khoo jao gi Mujhey na dhoonda
kar...
Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi
Mein hun essi Ghatta jo barasti nahi hai
Mien essi leher hun jiss mein Halchal na
ho
Na tum ko Dabo dey ye lehrein kahein
Mere pagal Piya essi khawaesh na kar
Mein woh sapna hun jo ke sach na ho
Mein woh Umid hun jo ke adhoori rahey
Mein woh rasta hun jiski na manzil miley
Mein woh sehraa hun ke jis mein Bhatak
jao ge
Mere pagal Piya esse raste pe na chal
Mein essi kiran hun jo ke be-noor hai
Mein to woh sep hun jiss mein moti na
miley
Mein to woh khooshboo hun jiss ko bikar
jana hai
Mere pagal Piya mera picha na kar
Mein to woh shaam hun jo ke dhal jayegi


Mohabaton ki

Mohabaton ki jo kitab likhna
Mera bhi us me hisaab likhna


Jo kal ki neenden luta chuke hyn
Wo aaj b he bekhawab likhna

Mujhe tasali na de sake yeh
Chand tarre shahab likhna

Jo tujse lamhe chura liye the
Bane hen ab wo azaab likhna

Sada khatain na ginte rehna
Koi to mera sawab likhna


Apni aankhon mein

Apni aankhon mein mere khawab rehne do,
Kuch an’kahe sawalon ke jawaab rahne do,


Na milo iss tarah ke dharkane’n ho jayain be’qabu,
Abhi kuch dair zara chehre pe hijaab rehne do,

Cheen lo bhale mujhse mere jugno mere khilone,
Magar abhi zara mere hathon me kitaaab rehne do,

Na karo abyaari in gullo’n ki nafraaton ke paani se,
Abhi inke dilo’n mein mohabton ka nisaab rehne do,

Phir kabhi mile to soche’n ge kya khoya kya paya Waqas,
Abhi nayi manzil hai dono ki, purane hisaab rehne do..