Hi Friends, Welcome to Golden Shayari. Here you find all type of Shayari, Hindi Shayari, Sms Shayari, Love shyari, Shero Shayari , Sad Shayari, Friendship Shayari, Shayari in Hindi, Bewafa Shayari, Urdu shero shayari, Dard shayari, dil shayari, santa shayari, Shero Shayari, Urdu Shayari, Punjabi Shayari, Friendship Shayari, Birthday Shayari, English Shayari, Love Shayari.Please Leave Your Comment And Feedback So We Post More Some Golden Shayari Daily For All Of You.
Saturday, 1 September 2012
Mere Jahan Mein
Mere Jahan Mein Basi Hai Wo
Jaise Gul Mein Khushboo
Khayalon Mein Aati Jati
Mere Ahsaason Mein Shamil Wo
Chinar Ke Patton Pe Sabnam Si
Jannat Ki Fiza Hai Wo
Meri Saanson Ki Rawani
Mere Zazbaton Ki Paidaish Hai Wo
Mere Wazood Ka Ahsaas
Meri Rooh Ki Khawaish Hai Wo
Boot-E-Sangmarmar Jaise Koi
Khuda Ki Ibadat Si Hai Wo
Ahsaas Pehli Mohabbat
Ahsaas Pehli Mohabbat Kaa Dil Mei Samaaya Hain
Kei Sanam Toone Mujhe Palkon Pe Bithhayaa Hain
Tujh Bin Ab Naa Hoon Main Poora Sanam
Naam Tera Hi Maine Saanson Mei Basaayaa Hain
Jaata Ek Pala Bhi Nahi Bin Tere Khayalon Ke
Lamha Lamha Ik Sadi Saa Lambaa Paayaa Hain
Behka Iss Kadar Teri Mohabbat Ke Nashe Me Dilbar
Mushkil Is Dil Pe Rakhna Ikhtiyaar Ho Aayaa Hai
Har Din Tere Pyaar Ke Rangon Se Hai Raushan
Raaton Pe Tere Khwaabon Ne Haq Jamaayaa Hai
Tez Hui Saasein, Hai Tez Dil Ki Dhadkan Bhi
Pyaar Tera Jaane Kaisa Yeh Mukaam Laayaa Hai
Bazm-E-Aashiqui Ki Teri Ghazlen Bane Zeenat
Pyaar Beshumaar Toone Mujhpar Yaar Lutaayaa Hai
Seekhe Tujhse Hi Hain Maine Aadaab Ishq Karne Ke
Saaason Se Ibaadat Karna Bhi Toone Hi Sikhaayaa Hai
Har Adaa-O-Khata Bhaati Hai Teri Ab Is Dil Ko
Armaan Tere Sang Ye Ehsaas Jeene Ka Sajaayaa Hai
Kab Yaad Mein Tera*
Kab Yaad Mein Tera* Saath Nahi
Kab Haath mein Tera Haath nahi
Sadd Shukr k Apni Raaton mein
Ab Hijr* ki koi Raat nahiMushkil Hon Agar Halaat Wahan*
Dil baich ayein,Jaan de ayein:)
Dil walo Koocha e Jaanan mein
Kia Aese b Halaat nahi
Jis Dhaj se koi Maqtal mein Gaya
Woh Shaan* Salamat Rehti hy
Yeh Jaan* to Aani jani hy
is Jaan* ki tOu koi Baat nahi
Maidan-e-Wafa Darbar naHi
Yaan Naam-o-Nasab ki Pooch Kahan
Aashiq* ToU Kisi Ka Naam nahi
Gar ISHQ Kisi Ki Zaat nahi
Yeh Baazi ISHQ* Ki Baazi Hai
Jo Chahe Laga Do Dar Kaesa
Jo JeeT Gaye Tou Kaya Kehnay:)
Haaray b to Bazi Maat Nahi..!!!
—
Kitni mushkil se kati kal
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch
wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki qayenaat na pooch
Jab dil tumara apna Ho,
Jab dil tumara apna Ho,
par batain sari uski Ho,
Jab sansen tmhari apni Hon
Or khushbo ati uski Ho,
Jab har tarf wo nazar aaye,
Or uski Yaad satati Ho ,
...Jab ankhain neend se bojhal Hon,
Or us k khwaab satatay Hon,
Phir khud ko dhoka mat dena,
Or us se ja k keh dena
Is Dil Ko Mohabt Hai tm se is dil ko mohabt ha tm se..!!
'' T U M B I N '
'' T U M B I N ''
Meri Zaat,
'' A D H U R I ''
Jaise Ho Koi,
.... ! Bat
'' A D H U R I ''
Hijra Ke Saare Din
Hain Poore,
Lekin Hain Har
Raat,
'' A D H U R I ''
Lafjo'n Ki Gehrai Mein
Jhaanko,
Samjho Na Har
Baat,
'' A D H U R I ''
Nam Aankhei'n Aur
Sookhi Palkei'n,
Hoti Hain BaRsAaT,
'' A D H U R I ''
Mujh Ko Mujh Sey
Chheen Liya Hain
Reh Gayi Meri
Zaat
'' A D H U R I '' ........ !!
Wo poochti hai, main usse i
Wo poochti hai, main usse itna pyaar kyu karta hun?
Maine kaha, ek tamanna hai tumhe paane ki..
Wo Kehti hai har waqt udas kyu rehte ho?
Maine kaha, koshish hai tumhe har Khushi dilane ki..
Wo Kehti hai Har waqt sochte kyu rehte ho?
Maine Kaha, aadat ho gayi hai
tumhe khayalo mein apna banane ki..
Wo kehti hai main na mili toh ?
Maine kaha, toh tamannaa hai ye zindgi mitaney ki..
Wo Kehti hai tumhe kya milega mar kar?
Maine Kaha ek ummed,
Agley janam mein tumhe apna bananey ki.......!!
All love of mine
All love of mine
With a song and a whine
You're harsh and divine
Like truths and a lie
But the tale ends not here
I have nothing to fear
For my love is hell of giving and hold on
And the bright emptiness
In a room full of it
Is a cruel mistress
Woah oh!
I feel this unrest
That nest all hollowness
For I have nowhere to go in the cold
And I feel so lonely
There's a better place than this
:Emptiness
And I'm so lonely
There's a better place than this
Emptiness, Yeaheaeah!
Tune mere jaana
Kabhi nahi jaana
Ishq mera, Dard mera, Haaye..!
Tune mere jaana
Kabhi nahi jaana
Ishq mera, dard mera
Aashiq tera
Bheed me khoya rehta hai, Jaane Jahaan
Poochho to itna kehta hai
That I feel so lonely
There's a better place than this
:Emptiness
And I'm so lonely
There's a better place than this
:Emptiness, Yeaheah!
Koi to ho aisa jo sirf MERA ho
Koi to ho aisa jo sirf MERA ho
Baton me uski khushbu ho
dil me uska basera ho
chahe to chahat MERI mange to muhabbat MERI
wo chand ki chandni ho to chand sirf MERA ho
wo din ki roshni ho to sooraj sirf MERA ho
wo phoolon ki khushbu ho to ehsas sirf MERA ho
wo raat ka ujala ho tochiragh sirf MERA ho
wo ishq or muhabbat ho to dil sirf MERA ho
wo pani ka cheenta ho todarya sirf MERA ho
wo qismat ki lakeer ho to
HATH SIRF MERA HO
Teri is dunia me ye manjar
Teri is dunia me ye manjar kyu hai?
Kahi zakham to kahi peeth me khanjar kyu hai?
Suna hai ki tu har zarre me rahta hai..
To fir zamin per kahi masjed to kahi mandir kyu hai?
..Jab rahne wale is dunia ke hai tere hi bande,
To fir koi kisi ka DOST, or koi DUSHMAN kyu hai????
Tu hi likhta hai sab logo ki kismat..
To fir koi badnaseeb or koi kismat ka sikander kyu hai?????
Ek roz thama tha hath mera
Ek roz thama tha hath mera..
Mere hath se tumare hath ki wo khushbu nhi jati...
Tum bahut pyar se pukarte thi naam mera..
Mere kano se tumari wo awaaz nhi jati...
Main bhulata bhi nhi thi or tum aa jati thi..
Ab chahne par bhi meri awaaz tum tak nhi jati..
Main janta hu mere sheher ke raste tumhare nhi...
Phir bhi meri aankho se intezaar ki aadat nhi jati...
Samandar ki gehraai se
Samandar ki gehraai se bhadhkar,
Aasmaan ki unchaai se bhadhkar,
Tujhe poojta hun mein,
Khuda kasam, khudaai se bhadhkar,
Raat ki raahat se bhadhkar,
Din ki chahat se bhadhkar,
Tujhe chahta hun mein,
Mer har ek muskuraahat se bhadhkar,
Mandir ki murat se bhadhkar,
Aapni surat se bhadhkar,
Mujhe khawaaish hai teri,
Aapni har zaroorat se bhadhkar,
Shayar k kalaam se bhadhkar,
Mere naam se bhadhkar,
Tujhse judda hun mein,
Meri aasthiyon par chade chaam se bhadhkar,
Meri shaan se bhadhkar,
Mere imaan se bhadhkar,
E-Sanam mujhe zarurat hai teri ,
Meri jaan se bhadhkar..........
Khamosh Rahoon Mien
Khamosh Rahoon Mien Tera Saath Chahiye,
Tanha Hai Mera Haath,Tera Haath Chahiye,
Mujhko Mere Muqadar Per Itna Yakeen To Hai,
Tujhko Bhi Mere Lafz,Meri Baat Chahiye,
Ehsaas e Mohabbat Tere Waaste Hai Lakin,
Junoon e Ishk Ko Teri Soghat Chahiye,
Tu Mujhko Paane Ki Khwahish Rakhti Hai Lakin,
Mujh Ko Jeene Ke Liye Teri Mulaakat Chahiye... !!
Chuta Jo Tera
Chuta Jo Tera Haath Toh Hum
Toot Ke Roye..
Tum Jo Na Rahe Saath Toh Hum
Toot Ke Roye.. Chaahat Ki Tamanna Thi Aur
Zakhm Diye Tum Ne..
Paayi Jo Yeh Saughaat Toh Hum
Toot Ke Roye.. Umeed Na Thi Tujhse Aisi
Bewafai ki..
Dekhe Jo Yeh Haalaat To Hum
Toot Ke Roye.. Anjaan The Hum ab Tak Dard Ki
Soorat Se..
Hui Jo Mulaakaat Toh Hum Toot
Ke Roye.. Jeeti Thi Sadaa Hum Ne Har
Baazi Tere Saath..
Tanha Jo Sahi Maat Toh Hum
Toot Ke Roye.. Logo Ne Bahut Poochha Sabab
Veraani-e-Dil Ka..
Jab Baata Na Sake Toh Hum
Toot Ke Roye.. Thi Dhoop Bahut Tez Har Subha
Judaai Ki..
Barsi Jo Na Barsaat Toh Hum
Toot Ke Roye.. Din Bhar Toh Rahe Chhup Ke
Duniya Ki Nazar Thi..
Hui Jo Raat To Hum Toot Ke
Roye.. Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna
Hi Koi Hissa..
Tukron Mein Dekha Khudko Toh
Hum Toot Ke Roye.. Hum Karte Rahe Aaj Tak 'Ek
Chaand' Ki Khwahish..
Yaad Aayi Jo Aukaat Toh Hum
Toot Ke Roye..
Hum Toot Ke Roye….
Subscribe to:
Posts (Atom)