Tuesday, 7 August 2012

ISHQ ki shuruwat NIGAHO se hoti hai,

ISHQ ki shuruwat NIGAHO se hoti hai,
SAJA ki shuruwat GUNAH se hoti hai,
kehate hai ISHQ bi ek GUNAH hai
jisaki shuruwat to BEGUNAHO se hoti hai.


Dard ko dard dene wale

Dard ko dard dene wale to bahut mil jate hai


Par jis din dard ko koi marham lagane wala mil jata hai


Use apne dard se bhi pyaar ho jata hai!!!!

Wo udaasi uske chehre

Wo udaasi uske chehre par nazar a arahi thi
Jo wo is duniya se chupa rahi thi
Wo ansoo kab tak un ankhon mai reh pate
Jinhe har pal gum ke lehar sata rahi thi!!!!

kisi ke saath hone ka

kisi ke saath hone ka ehsaas hi 
ab mujhe khud se pyaar kara jata hai
mai bhi kisi ke liye khaas hun is zindagi mai
is baat pe hi dil ko pyaar aa jata hai!!!

Kaash ek chand hamara

Kaash ek chand hamara bhi hota
To hamare ghar bhi kabhi andhera na hota
Kaash ek taara hi saath de deta 
To is dil mai shayad andhere ka darr na hota!!



Wo sach hi keh gaye

Wo sach hi keh gaye the shayad 
Ki ab wo wapas na laut payenge
Par hum hi intezaar karte rahe unka
Yahi sochkar
ki hamare bina wo kaha jee payenge!!!


Log kehte hai waqt ke saath

Log kehte hai waqt ke saath yaadein dhundhli ho jati hai

Par koi unse puche kya wo insaan bhi dhundla ho jata hai!!!

Mere dard ne mujhe bahut

Mere dard ne mujhe bahut dard diya
Par uske badle maine use utna hi pyaar diya
Ki dard hi bol pada jiske pehlu mai itna pyaar ho
Use dard dene ka maine soch bhi kaise liya!!!


Guzar rahi thi zindagi

Guzar rahi thi zindagi ab unke bagair bhi
Najane ab unhe kyu fir wapas lautna tha
Abhi to sambhle the hum beeti yaado se
Fir kyu ab unhe hamare zakhmo ko tatolna tha!!!

Unhone ye socha bhi kaise

Unhone ye socha bhi kaise ke hum unhe maaf kar denge

Dilo se khelne wale maafi ke kaabil hi kaha reh jate hai!!!


Fir zindagi mai khushi ka

Fir zindagi mai khushi ka mausam aayega
Jab uski saanson ka saath mujhe mil jayega
Wo har pal hoga mere saath
Uske saath se har gum dhul jayega
Ye lab firse muskurayenge
Ankhon mai bhi khushi ke ansooo aayenge
Uske aane se ye zindagi fir khilkhilayegi
Meri har khamoshi mai uski awaaz gungunayegi
Wo hoga mere itne kareeb
Ki sari duniya uske aage ajnabee nazar aayegi
Sach fir khushiyon ka mausam jald aayega
Jab uski zindagi se meri zindagi jud jayegi!!!


Unki yaadon mai ab

Unki yaadon mai ab wo asar nahi raha
Jo raato ko hume jagaaya karta tha
Unki baton mai ab wo asar nahi raha
Jo har pal hume hasaya karta tha
Ab to yahi kahenge
ki unki ruswayi mai bhi itna dard nahi raha
jo raaton ko hume rulaya karta tha!!!


Khud ko bhulakar kisi

Khud ko bhulakar kisi aur ka banna asaan nahi hota
Ye pyaar ki raahe hai jispe chalna asaan nahi hota
Bhul jate hai pyaar karne wale duniya ko in raaho pe
Par duniya ke liye apne pyaar ko bhulna asaan nahi hota!!!


Ae raat tujhe ab hum alvida kehte hai

Ae raat tujhe ab hum alvida kehte hai
ab saha nahi jata mujhse ye dard
thoda so lene de taki kuch waqt nikal jaye
ab raha nahi jata mujhse aise har waqt
tu chahe samjhe ya na samjhe mujhe
par dil ka kafila kaha nahi jata har waqt
ab is raat ke andhere mai kho lene de
sach ab saha nahi jata mujhse ye dard!!


Pyaar ko do naamo

Pyaar ko do naamo se sajaya gaya hai
Tanha aur dard ke dayro mai fasaya gaya hai
Pyaar ki ehmiyat har koi nahi jan pata
Jo sacha pyaar karta hai 
usi ke liye ye pyaar shabd banaya gaya hai!!!