Saturday, 18 August 2012

Daloon main kamroon

Daloon main kamroon main uljhaye huye rakhna
kuch kam main apne ko bahlaye huye rakhana
duniya ke masail main ulajha huwa jab aon
tum ghar ke masail ko suljhaye huye rakhana
sandok ke kaproon ko kuch dhop dikha dena
tum sahan main jare ko phailaye huye rakhana
mai dhop ke sahra se jhulasa huwa aoonga
shano pe ghaTaoo ko Thahraye huye rakhana
ho jaye kabhi shab main bachoon se bhi do batain
pariyoon ki kahani ko dohraye huye rakhana
dhoondhala na kahi kar de kuch ghar ki pareshani
aina-e-ruKh apna chamkaye huye rakhana


No comments:

Post a Comment