Monday, 10 September 2012

Jidhar bhi dekhti hoon tanhaai

Jidhar bhi dekhti hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai

main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai

ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai

asar karti yakeenan gar choo jaati unke dil ko lekin
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai

kabhi aa ke mere zakhmon se muqabla to kar
ae khushi tu moonh chhuppaa ke kidhar jaati hai

tuze inhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai....!!!!!!!


No comments:

Post a Comment