Thursday, 30 August 2012

Gham nahi wahan jahan

Gham nahi wahan jahan ho fasana aapka
Khushi bhi dhundhti hai har pal fasana aapka,
Aap udaas na hona kabhi zindagi mai,
Bohot achha lagta hai hame muskurana aapka…!



Ek Gujarish Hai Tujhse Zara

Ek Gujarish Hai Tujhse Zara Tham Ke Barasna,
Aa Jaaye Jab Mera Mehboob To Phir Jamm Ke Barasna,
Yun Pehle na Barasna Ki Wo Aa na Sakey,
Aa Jaaye Mere Pass To Itna Barasna Ki Wo Ja Na Sakey…

Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki,

Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki,
Aur Koi Hasrat Nahi Hai Tere Deewane Ki,
Shikva Mujhe Tujhse Nahi Khuda Se Hai,
Kya Zururat Thi Tujhe Itna Khubsoorat Banane Ki…

Soch raha tha k jawab

Soch raha tha k jawab kya bheju,
aap jaise dost ko toofa kya bheju,
guldasta bhejna to bewakufi hogi,
kyu k jo khud gulab hai use gulab kya bheju…?

Dil Dhadkan Aur Ik Tu

Dil Dhadkan Aur Ik Tu Sanam…
Dil Mein Dhadkan Hai…
Dhadkan Mein Hai Aahat Teri…
Ik Yahi Arzoo Kafi Hai Dhanwant…
Iskadar Zindgi Guzarti Hi Jayegi…

Iskadar Ishq Mein

Iskadar Ishq Mein Mashhoor Huye Hum…
Ik Tadap Si Rahi Bas Mazboor Huye Hum…
Chahat Ke Is Bazaar Mein Do Pal Sahi…
Teri Hasti Palko.n Ka Saroor Huye Hum…
Wo Bhi Din Tha Tum Kaha Karte The…
Hamara Zikar Hota Tera Garoor Huye Hum…
Ye Bhi Teri Chahat Hai Wo Bhi Teri Chahat Thi …
Ik Pal Thi Nazdekiya.n Ik Pal Door Huye Hum…
Teri Ankho.n Ke Aaieeno.n Mein Aks Mera Tha…
Ik Thokar Lagi Dhanwant Choor Choor Huye Hum…


Jab Jab Aata Hai Ye

Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Hoti Hai Sath Humdum,
Is Mausam Mein Nahi Karienge Yaad Tujhe Ye Socha Hai Humne…
Par Phir Socha Ki Baarish Ko Kaise Rok Paayeinge Hum….

Aapki Ada Se Hum Madhosh

Aapki Ada Se Hum Madhosh Ho Gaye
Aap Ne Palat Kar Dekha Tho Hum Behosh Ho Gaye
Yehi Ek Baat Kehni Thi Aapse
Na Jaane Kyun Aapko Dekthe Hi Hum Khamosh Ho Gaye…

jagaaya unhone aisa ke

jagaaya unhone aisa ke aaj tak so na sakke
Rulaaya unhone aisa ke sabke saamne ro bhi na sakke
Jaane kya baat thi unn mein….
Jabse maana unhe apna tabse kisi ke ho na sake…

Kaash woh samajthe is

Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko
Tho yun humein ruswa na kiya hotha
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein
Bas ek baar humein samaj-liya hota…

Soch lene se pahley mein

Soch lene se pahley mein kar arz deti huin
shayari me yaaron dil ke raaz khol deti huin
kuch apni kuch unki kahaani bahut hain
mila mila kar kissey mein duniya ko bol deti hun

Ham apne pyaar ko samjhate

Ham apne pyaar ko samjhate bhi to kaise samjhate,
ham apne is jajbaat ko samjhate bhi to kaise samjhate…..
theher jaatin hain meri jubaan unke deedar k saath hi,
ab ye baat ham unhe samjhate bhi to kaise samjhate!!!!!

Jadu Hai Teri Har Ek Baat Me

Jadu Hai Teri Har Ek Baat Me
Yaad Bahut Aate Ho Din Aur Raat Me
Kal Jab Dekha Tha Mene Sapna Raat Me
Tab Bhi Apka Hi Hath Tha Mere Hath Me..

Raat ka andhera kuch

Raat ka andhera kuch kehna chahta hai….
yeh chand chandni ka sath rehna chahta hai…
hum to tanha hi khush the…
mager pta nhi kyu yeh dil ab kisi ka sath rehna chahta hai…

Phool khilte hai bahaaron

Phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi toh pyaar javaan hota hai,
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Yeh fasaana toh nigaahon se bayaan hota hai. ..

Anjaan ek saathi ka iss dil

Anjaan ek saathi ka iss dil ko intejar hai,
Pyasa hain ye aankhen aur dil bekarar hai,
Unke saath mil jaye to har raah aasan ho jayegi,
Shayad issi anokhey ehsaas ka naam Pyaar hai…


Aapki Zindagi mein kabhi

Aapki Zindagi mein kabhi koi gam na ho
Aapki Aankhe kabhi nam na ho
Aapko mile Zindagi ki har khushi
Bhalehi uss khushi mein hum na ho

Pyaar ki aanch se to patthar

Pyaar ki aanch se to patthar bhi pighal jata hai,
Sache dil se sath de to naseeb bhi badal jata hai,
Pyaar ki rahon par mil jaye sacha hamsafar,
To kitna bhi gira hua insaan bhi sambhal jata hai…

Phool khilte hai bahaaron

Phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi toh pyaar javaan hota hai,
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Yeh fasaana toh nigaahon se bayaan hota hai.

Teri aankhon se kaash

Teri aankhon se kaash koi ishara to hota
Kuchh hi sahi ik jeene ka sahara to hota
Tod dete duniya ki hadon ko ham
Ik baar toone mohabbat se pukara to hota…

Wednesday, 29 August 2012

Hum Ne "ULFAT" Ka

Hum Ne "ULFAT" Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Hai,
Goya Seene Mein Tujhe "DIL" Ki Jagah Rakha Hai,

Dil Yeh Chaahe Ke Tu Kabhi "BADNAAM" Na Ho,
Dekh Zikar Tera Hai Magar Naam Chupa Rakha Hai,
Mere Jis Haath Se Kiya Tha Tu Ne "MUSAFA",
Dhoya Hi Nahi Honton Se Laga Rakha Hai,

Ab Main Samjha Tere "RUKHSAR" Pe Till Ka Matlab,
"DOULT-E-HUSN" Pe Darban Bitha Rakha Hai,

"JUDA" Ho Gaye Hain To Phir Kiya Hua,
"Teri "WAFA" Ko Seene Mein Saja Rakha Hai...!
 


Wo Kehta Hai

Wo Kehta Hai
K Ab B Mery Barey Main Sochte Ho
Main Kehte Hon
Mujy Apne Sochon Per Ekhteyar He Kub Tha
Wo Kehta Hai
Kia Mery Bad Kisi Sey Muhabbat Hoye Tumhain
Main Kehte Hon
Muhabbat Duhraye Janey Wala Sabaq Nahi Hai
Wo Kehta Hai
Kia Mujy Bewafa K Naam Sey Yad Kerte Ho
Main Kehte Hon
Hamarey Dermeyan Wafauon Ka Taluq He Kub Tha
Wo Kehta Hai
Merey Ziker Per Ro Leyte Ho Ge
Main Kehte Hon
Barshon Ka Mousam Guzer Chuka Hai
Wo Kehta Hai
Tumharey Lehjey Main Bohut Udase Hai
Main Kehte Hon
Bahar Per Khizan Ka Mousam Uter Chuka Hai
Wo Kehta Hai
Tumhare Aankhon Main Etne Gehraye Se Ku Hai
Main Kehte Hon
Sumander Ke Gehraeyan Door Sey Kub Nazer Aate Hain


Main Labzo Se Kuch Bhi

Main Labzo Se Kuch Bhi Izhaar Nahi Kartaa
Ishka Matlab Yeh Nahi Ki Main Tumhe Pyaar Nahi Karta
Chahtaa Hoon Main Tumhe Aaj Bji Lkin Teri
Soch Main Apna Vaqt Barbaad Nahi Kartaa
Tamaasa Na Ban Jaaye Kahi Meri Mohabbat Ka
Is Liye Apne Dard Ka Izhaar Nahi Kartaa
Jo Kuchh Mila Hai Ushi Main Khos Hoon Main
Tere Liye Khuda Se Takrar Nahi Kartaa
Par Kuchh To Baat Hai Teri Fidrat Main
Varna Tujeh Chahneki Khata Bar Bar Nahi Kartaa


Sitaroon ney kaha

Sitaroon ney kaha rim jim ka naam zindagi hai
Chand ney kaha musalsal safar ka nam zindagi hai
Baharon ney kaha khushbi bakhairney ka naam zindagi hai
Sooraj ney kaha roshni ka naam zindagi hai
pani ney kaha rawani ka nam zindagi hai
Ashiq ney kaha kisi ki yaad mein jalna zindagi hai
parwaney ney kaha dosroon ke khatar jan dena zindagi hai
Musafir ney kaha batakney ka naam zindagi hai
Bandey ney kaha bandagi hi zindagi hai
Phol ney kaha muskarana zindagi hai
Deewaney ney kaha deewangi zindagi hai
Raat ney kaha tareeki hi zindagi hai
Parindey ney kaha uran aik zindagi hai
Shama ney kaha dosroon ko roshni daina zindagi hai
Awara ney kaha awargi ka nam zindagi hai
 


Abhi is taraf na nigah kar

Abhi is taraf na nigah kar main Ghazal ki palkain sanwar loun,

Mera lafz lafz ho aaina tujhay aainay me utaar loun,
Agar aasman ki numaishon me mujhe bhi izn - e - qyaam ho,

to mein moutiyon ki dukaan se teri baaliyan teray haar loun,
Main tamam din ka thaka hua main tamam shab ka thaka hua,

Zara thehar ja isi morr par teray sath shaam guzar loun,
Kai ajnabi teri rah kay mere pas say youn guzar gaye,

Jinhain dekh kar ye gumman hua tera naam le kar pukaar loun…


Tumhe Dillagi Bhool Jaani Padegi..

Tumhe Dillagi Bhool Jaani Padegi..!
Muhabbat K Raaho Me Aaker To Dekho..!!
Tadapne pe Mere Naal Fir Tum Hasoge..!
Kabhi Dil Kisi Se Laga Kr To Dekho..!!
Wafao ki Humse Tabak To Nahi hai..!!
Magar Ek Baar Azma'a Kr to Dekho..!
Zamane ko Apna Bna kr to dekha..!
Hume bhi Tum Apna Bna Kr To Dekho..!!!
Jafayein bahut ki Bahut Julm dhaye..!
Kabhi ikk Nigaahen karam iss taraf bhi..!
Hmesha huwe dekh kr Mujhko Maraham..!
Kisi Din Zra Mushkura Kr to Dekho..!!!
Jo Ulfat me har ikk Sitam hai Ganwara..!
K sab kuch hai Paas-E-Wafa tmse warna..!!
Satate Din-Raat jis Tarah Mujhko..!
Kisi Gair Ko Sata Kr To Dekho..!!
 


Mere Khwaabon Ke Jannat Ka

Mere Khwaabon Ke Jannat Ka Nazaraa Hain Teri Aankhen
Hujuum-E-Ghum Mein Khushiyon Ka Ishaara Hain Teri Aankhen
Yeh Pech-O-Kham Jo Zulfon Ka Kabhii Maathe Pee Lehraaye
Jabeen-E-Arsh Pee Goyaa Ghataa Kaali Se Bal Khaaye
Teri Baaten Hain Jaise Chaandnii Tariikh Raaton Mein
Tabassum Ye Tera Jaise Ke Sehra Mein Ho Barsaatein
Tujhe Her Rang Her Andaaz Mein Maine Hasiin Paaya
Bohat Hain Maahjabiin Dekhe Kahiin Tujhsa Nahiin Paaya
Tu Woh Tasveer Hai Jiska Mussavir Khud Bhee Hairaan Hain
Tu Kyaa Hai Khud Naeen Tu Jaanti, Haaye , Itni Naadaan Hai
Mujhe Yeh Ilm Hai Tumne Bohat Sadme Uthaaye Hain
Tumhari Zeest Par Haavi Ghum-E-Dauraan Ke Saaye Hain
Baraa Jee Chahta Hai Tujhko Baahon Mein Chhupa Luun Main
Tere Har Dard Ko Apne Kalejey Se Lagaa Luun Main
Tere Pairon Ke Kaante Apni Palkon Se Uthaa Luun Main
Meri Jaanaan Jo Ho Mumkin Tujhe Apna Banaa Luun Main
Muhabbat Tujhse Hai Itni Ke Main Batlaa Nahiin Sakta


Choom leti hai latak kr kbi



Choom leti hai latak kr kbi chehra kbi lab
tm ne zulfon ko boht sir pe chara rkha hy
Chashm-e-saqi ne ye kya khail racha rakha hy?
K0i zahid - K0i may-khuar bna rkha hy
J0 phansa phir na us ne kbi rehai mangi
Zulf teri ne B ajab jaal bicha rkha hy
Ab main smjHA tere rukhsar pe til ka matlab
D0lat-e-husn pe darban bitha rkha hy
Dil ye chahe K tu kbi badnaam na h0
Dekh zikar tera hy mgr naam chupa rkha hy
Ishq h0 K husn ho,d0n0 ka asar yaksan hy
Cheez ek hy mgr naam juda rkha hy
Teri makh'm00r nigha0n se hy r0naq saari
Warna saqi tere may-khaney me kya rkha hai

Zindagi Ye Safar Mein Hain


Zindagi Ye Safar Mein Hain Kat Raha Hain Rasta
Humsafar To Hai Magar Manzilein Hain Juda Juda
Aansuon Ki Dhoop Mein.. Koi Chal Raha Idhar
Keh Kaho Ki Chhav Mein Koi Chal Raha Udhar
Koi Kisi Se Gum Hua Koi Kisi Ko Mil Gaya
Hain Milan Ki Chaahatein.. Faasle Hain Darmayaan
Dhadkane To Ek Hain Phir Bhi Hain Ye Dooriyaan
Koi Kisi Ko Hain Chaahata Koi Kisi Se Hain Khafaa
Zindagi Ye Safar Mein Hain Kat Raha Hain Rasta
Humsafar To Hai Magar Manzilein Hain Juda Juda..!!


Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay




  Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay
Jo Rait Pe Tanha Betha Hay

Na Iskay Pait Main Rooti Hay
Na Iskay Tan Per Kapra Hay

Na Iskay Sur Per Toopi Hay
Na Iskay Pair Main Joota Hay

Na Iskay Pas Khiloono Main
Koi Bhaalo Hay Koi Ghoora Hay

Na Iska Dil Behlanay Ko Koi
Loori Hay Koi Jhoola Hay

Na Iski Jaib Main Dhela Hay
Na Iskay Haath Main Paisa Hay

Na Iskay Ammi Abbu Hain Na
Iskay Appa Khala Hain

Yeh Sara Jag Main Tanha Hay
Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay?

Yeh Duniya Kaise Duniya Hay?
Is Duniya K Kuch Takroon Main

Kahi Phool Khilay Kahi Sabza Hay
Kahi Badal Ghir Ghir Atay Hain

Kahi Chashma Hay Kahi Dariya Hay
Kahi Oonchay Mehal Aatariyaan Hain

Kahi Mehfil Hay Kahi Mela Hay
Kahi Kaproo K Bazaar Sajay

Kahi Kaproo K Bazaar Sajay
Kahi Doulat K Sandooq Bharay

Haan Tanba Soona Roopiya Hay
Tum Jo Maango Tu Haazir Hay

Tum Jo Chahao Su Milta Hay
Tum Jo Chahao Su Milta Hay

Yeh Duniya Kaise Duniya Hay
Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay

Ishq Pagal Kar Gaya Tou



Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo
Sanha Aisa Howa To Kya Karo Ge Soch Lo
Sath Us Ke Har Qadam Chalne Ki Adat Kis Liye
Chor Ke Wo Chal Diya To Kya Karo Ge Soch Lo
Shor Bahir Hai Abhi Is Waste Khamosh Ho
Shor Ander Gir Utha To Kya Karo Ge Soch Lo
Kar Rahe Ho Ghar Naya Tameer Urti Rait Per
Ye Achanak Gir Para To Kya Karo Ge Soch Lo
Band Palko Per Adhore Khuwab Bante Ho Magar
Koi In Me Aa Basa To Kya Karo Ge Soch Lo
Dar Dareche Sab Muqfil Kar Ke Bethe Ho Magar
Wo Achanak Aa Gaya To Kya Karo Ge Soch Lo
Doobte Sooraj Ka Chehra Aur Us Ki Naqhs Pa
Jab Wo Manzar Gum Howa To Kya Karo Ge Soch Lo

Kaise Ye Mohabbat Ki



Kaise Ye Mohabbat Ki Shiroat Howi Hai
Khud Mujh Se Juda Aj Meri Zaat Howi Hai
Jata Hai Usse Simt Meri Soch Ka Dhara
Jis Shakhs Ke Hatho Se Mujhe Maat Howi Hai

Lab E Khamosh Se Izhar E Tamanna

Lab E Khamosh Se Izhar E Tamanna Chahe
Bat Karane Ko Bhi Taswir Ka Lahaja Chahe

Tu Chale Sath To Ahat Bhi Na Aye Apani
Daramiyan Ham Bhi Na Ho Yun Tujhe Tanha Chahe

Zahiri Ankhon Se Kya Dekh Sakega Koi
Apane Baton Pe Bhi Ham Fash Hona Chahe

Jism Poshi Ko Mile Chadar E Aflak Hamay
Sar Chupane Ke Liye Wusa`At E Sehara Chahe

Khwab May Roye To Ehasas Ho Sairabi Ka
Ret Par Soyen Magar Ankh May Dariya Chahe

Bhent Char Jaun Na Main Apane Hi Khair O Shar Ki
Khun E Dil Zabt Kare Zakhm Tamasha Chahe

Zindagi Ankh Se Ojhal Ho Magar Khatm Na Ho
Ek Jahan Aur Pas E Parda E Duniya Chahe

Aj Ka Din To Chalo Kat Hi Gaya Jaise Bhi Kata
Ab Khuda Band Se Khairiyat E Farda Chahe

Aise Tairak Bhi Dekhe Hain `Muzaffar` Hamane
Garq Hone Ke Liye Bhi Jo Sahara Chahe