Wednesday 29 August 2012

Sitaroon ney kaha

Sitaroon ney kaha rim jim ka naam zindagi hai
Chand ney kaha musalsal safar ka nam zindagi hai
Baharon ney kaha khushbi bakhairney ka naam zindagi hai
Sooraj ney kaha roshni ka naam zindagi hai
pani ney kaha rawani ka nam zindagi hai
Ashiq ney kaha kisi ki yaad mein jalna zindagi hai
parwaney ney kaha dosroon ke khatar jan dena zindagi hai
Musafir ney kaha batakney ka naam zindagi hai
Bandey ney kaha bandagi hi zindagi hai
Phol ney kaha muskarana zindagi hai
Deewaney ney kaha deewangi zindagi hai
Raat ney kaha tareeki hi zindagi hai
Parindey ney kaha uran aik zindagi hai
Shama ney kaha dosroon ko roshni daina zindagi hai
Awara ney kaha awargi ka nam zindagi hai
 


No comments:

Post a Comment