Friday 24 August 2012

Ek Lover Ne RAB Se Poucha:

Ek Lover Ne RAB Se Poucha:
App Duniya Ko Pyaar Ka Dushman Kyun Bana Deyte Ho.?

RAB Ne Hans Kar Kaha:
Tum Bhi To Apne Pyaar Ko RAB Man Kar Mujhe Bhula Deyte Ho..!!


Yeh tum se keh diya kis ne. . .

Yeh tum se keh diya kis ne. . .
Kay tum bin reh nahi saktay. . .
Yeh dukh, hum seh nahi saktay. . .
Chalo, hum maan laitay hain. . .
Kay tum bin, hum buhat roye. . .
Ke raaton ko na soye. . .
Magar, afsos hai jana. . .
Kay ab kay tum jo lotoo gey. . .
Humain tabdeel paao gey. . .
Buhat mayoos hogey tum. . .
Kay agar poch na chaho kay,
Aisa kyon kiya hum ne. . .
To sunn loo ghour se jana. . .
Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne…
Mohabbat chhour di hum ne…
Haan. . .
” mohabbat choour di hum ne…
mohabbat choour di hum ne…


♥ SaaNsoN ka safar tum

♥ SaaNsoN ka safar tum se tumhi tak haiN,
Haan meri muhabbat bhi tum se tumhi tak haiN.
Jazbat aur Ishq sacha na hota to raasta badal leta,
Mere raaston ka guzar tum se tum hi tak haiN.. 


Woh Pyaar Hi Kya

Woh Pyaar Hi Kya
Jis Mai Dil Daar Ke Liye Qurban Na Ho
Woh Khumaar Hi Kiya
Jis Ne Madhosh Kar Diya Sab Ko
Hum Toh Raah Main Behte Hain Unke
Ke Kabhi Na Kabhi Hume Unse Pyar Toh Ho


aankh se duur na ho

aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa 
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa 

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii 
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa 

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge 
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa 

duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don 
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa 

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa 


SheeshEy ki tarah tUt k giRne

SheeshEy ki tarah tUt k giRne
naHi deTa..!

Yeh zabT mEra mUjh k0 biKherne
naHi deTa..!

Rehne nahi deTa mUjhe paLk0n
k kinaRe..!

Ankh0n k samandaR mein utArne
naHi deTA…!

Hai naam-E-m0habbat se
adawaT usay leKin...!

Dum mujh k0 bhi m0habbaT ka
w0h bahRne nahi deTa…!

Milta hai har bar naye bhaiS
badaL kaR…!

Ik SHAKs mujhe khuD se
biCharne naHi deTa…!!!!


Tum Jo Hastey Ho To Phoolon

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho.


Bekarar-e-ishq ki madhosh

Bekarar-e-ishq ki madhosh dhadkano mein samane lage ho,
Kuch iss tarah tum humko humise churane lage ho !!!

Be-intaha mohabat ka suroor jo chhaya hain jism mein,
Uss suroor ko apne pyaar se bhigone lage ho !!!

Sansaanati baarish ki rhimjhim madhoshi mein, 
ab tum hi chaane lage ho !!!

Tadapti hain yeh aahein tere Milan ki aas mein,
Inhi aaho ko ab tum jaanke tadpaane lage ho !!!


Kamosh Zabaan Ke

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai

In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain

In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain

Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai

Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai

Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho

Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?


Asar dil per karay shikwa,

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho_____


Woh Waqt Aisa Tha K

Woh Waqt Aisa Tha K Judai Zaroori Thi,
Muhabbat Ki Zanjeeron Say Rehayi Zaroori Thi,
Rasam-e-Muhabbat Nibhayi Phir B Ilzam Mila,
Is Liye Muhabbat Mein Thori Bewafi Zaroori Thi,
Bheer Mein Reh Kr B Akele Hi Rahe Hum,
Zindagi Mein Humari Tanhai Zaroori Thi,
Hamesha Hum Hi Q Saza Payan,
Us K Liye B Thori Ruswai Zaroori Thi,
Ek Ek Lafaz Dhoond Kr Ki Thi Mukamal,
Par Humari Khani Aaj B Adhori Hai,
Kal B Adhuri Thi.......!!!!!!!!!!!!


Uske Seene Se Lag Ke Bas

Uske Seene Se Lag Ke Bas Yahi Ehsaas Hota Hai...!!!

!!~*~_____~*~_____~*~_____~*~_____~*~!!

Ke Meri Duniya Simat Gayi Hai Inn Baahon Mein...!!!


Meri sochon ke harpal mein

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
? Tum mere HUMSAFAR ho?, jab keh kar jaati ho___


khuda kare teri Zindgi

khuda kare teri Zindgi jannat Rahe.....
Mera Pyar tere Dil Mei Amanat Rahe.......
Meri to Yahi Khawahish hai ki.......
Tu jaha B Rahe Salamat Rahe.........


Teri Baatein Hi Sunaane Aaye

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye

Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye

Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?

Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye

Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye

Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?????


Tere “KHYAL” ko “

Tere “KHYAL” ko “DIL” se kabi Juda na karoon.
Tere Bagher to mein “SAANS” bhi Liya na karoon.

Jo tu Mila to mujhe Mashwara diya “DIL” ne.
K Ab “KHUDA” se koi or “ILTEJA” na karoon.

Mujhy Yaqeen hai k “SURAJ” kabi “TALOU” na ho.
Jo tere “NAAM” se mein “DIN” ki “IBTEDA” na karoon.

WAFA” ki Rahon mein Rakh to diya hai mein ne “QADAM.
Ab apni “JAAN” b Jaye tu mein “GILA” na karoon.

Tumhara Naam Lene Se

Tumhara Naam Lene Se Mujhy Sab Jaan Jaty Hain,


Main Woh Khoee Hoi Cheez Hon Jis Ka Pata Tum Ho....!!

Pyar Ki Anokhi Murat Ho Tum,

Pyar Ki Anokhi Murat Ho Tum,
Zindagi Ki Ek Zarurat Ho Tum,
Phool To Khoobsurat Hote Hi Hai,
Par Phoolo Se Bhi Khoobsurat Ho Tum…. ♥ ♥ ♥
 


Jahan Phoolon ko Khilna Tha

Jahan Phoolon ko Khilna Tha Wahin Khiltey To Acha Tha
" Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhi Miltey To Acha Tha... !

Koi Aa kar Humein Pooche Tumhein Kaise Bhulaya Hai
Tumhare Khat ko Ashkon se Shab-e-Gham mein Jalaya Hai
Hazaron Zakhm Aise Hain Agar Silte To Acha Tha

" Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhi Miltey To Acha Tha "

Tumhein Jitna Bhulaya Hai Tumhari Yaad aayi Hai
Bahar-e-No Jo Aayi Hai Wohi Khusboo Bhi Laayi Hai
Tumhare Lab Meri Khatir Agar Hiltey To Acha Tha

" Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhi Miltey To Acha Tha "

Mila Hai Lutf Bhi Humko Haseen Yaadon ki Jhilmil Mein
Kati Hai Zindagi Tum Bin Magar Ek Aas Hai Dil Mein
Agar Aate To Acha Tha Agar Miltey To Acha Tha

" Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhi Miltey To Acha Tha "

Tumhi Ko Humne Chaha Tha..


Bahot Mushkil Hy Har Chehre se

Bahot Mushkil Hy Har Chehre se Dil Ka Raaz Parh Lena",
"Key"
Jin Logo Ke Dil Tootay Hon Pehchaney Nahi Jatey...


Teri Judai Ke Baad

Teri Judai Ke Baad
TERI JUDAI KE BAAD 

"Ashkbaar rehne lagi aankhe,
teri judai ke baad...

zakhm sehne lagi saanse,
teri judai ke baad...

dil jese toot sa gaya ho!!!
umeed ka daman choot sa gaya ho!!

sawal ? karne lagi yaade,
teri judai ke baad...

sawere mien siyaahi !!!
qaid lagne lagi rihai !!!

khud aap karne laga baatie,
teri judai ke baad...

shab bhar nahi milti palkein !!!
karvat badal badal har rukh simtien !!!

ratjago se karne laga vaadie,
teri judai ke baad...

ashkbaar rehne lagi aankhe,
teri judai ke baad...

zakhm sehne lagi saanse,
teri judai ke baad...


Some One Asked Me



Some One Asked Me

What Is Life???

I Came Close To You

Hold U In My Arms

Then Said

Thats My Life......... ♥♥♥

Raat Ki Tanhai Mein Meri Aankhon

Raat Ki Tanhai Mein Meri Aankhon Se Girtey Aansu Bhi Mujhe Bol Uthe,

::::Dosto:::

Ke Maat Baha Humein Itna,Teri Aankhon Mein Aana Chor Denge..!!!


MohabbaT M£ T£ri FitraT

MohabbaT M£ T£ri FitraT kya Thi,
Is kadar humS£ NafraT kya Thi,
T£ri ChahaT p£ wafa ki Thi m£n£,
Tujh£ b£wafa hon£ ki ZaruRat kya Thi...!!!


Kisi ke bicharne ka dard

Kisi ke bicharne ka dard saha nahi jata,
Usi bhola ni par bhi bhulaya nahi jata.
Yi ek dard hi aisa hi yaaro,
Jo ki chah kar bhi kisi ko bataya nahi jata…


Na Koi Kisi Ke Paas Hota Hai

 Na Koi Kisi Ke Paas Hota Hai , ♣
 Na Koi Kisi Ke Dur Hota Hai, ♣
Pyaar Khud Hi Chalkar Aata Hai, ♣
Jab Koi Kisi Ke Nasib Me Hota Hai !! ♣

Aaj Aasman Ke Taaro

Aaj Aasman Ke Taaro Ne Mujh Se Pouch Liya,
Kya Tumhe Ab Bhi Intezar He Uske Laut Aane Ka,

Mene Muskurakar Kar Kaha

Tum Laut Aane Ki Bat Karte Ho,
Mujhe To Ab Bhi Yakin Nahi Uske Jaane Ka..!!


Tera Zikar Bhi Karna Chhor Diya

Tera Zikar Bhi Karna Chhor Diya
Ab Hum Ne Rona Chhor Diya

Jab Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chhor Diya

Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye
Ab Dil Ko Lagaana Chhor Diya

Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chhor Diya

Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chhor Diya.....


Mujh Se Door Door Na Reh

Mujh Se Door Door Na Reh,Or Mujh
Se Koi Hijaab Na Rakh,

Rakh Wohi Purana Tareeka, Naye
Naye Hisaab Na Rakh,

Taras Gay Naina Mere Tere Deedar Ko,

Tarpa Hun Pehle Bahut, Or Mubtala
E Azaab Na Rakh,

Ishq Aik Janoon Hai, Or Janoon Koi Gunnah Nahe,
Likha Hai Jis Men Gunnah Yeh, Aisi Koi Kitaab Na Rakh,

Badla Badla Lehja Tera, Andaz E Guftagu Bhi,
Rakh Wohi Andaz Pehla, Be Rukhi Janaab Na Rakh,

Han..! Badal Geya Hun Main Bhi Ab,
Kisi Ne Mujhy Badal Deya Hai,

Chor Diya Hai Pena Saqi, Mere
Agay Ab Sharaab Na Rakh...!


teri ulfat ne toh diwana

teri ulfat ne toh diwana bana rakha hai,
aur logo ne bhi afsana bana rakha hai,

aandhiyaan tez chalein bujh na sakega phir bhi,
khoon-e-dil se jo diya hum ne jala rakha hai

unn se khud unnki jafaon ka gila kai karein,
hum ne aanhon ko bhi seene mein daba rakha hai

woh joh kaatil hai sitamgar hai mohabbat ka meri,
hum ne unwaan-e-gazal ussko bana rakha hai

ban ke anjaan sar-e-bazm woh mujh se bole,
ishq mein kis ke bura haal bana rakha hai

kaun kehta hai tujhko bhool gaya hai dil,
teri yaad ko toh humne emaan bana rakha hai..