Thursday 30 August 2012

Gham nahi wahan jahan

Gham nahi wahan jahan ho fasana aapka
Khushi bhi dhundhti hai har pal fasana aapka,
Aap udaas na hona kabhi zindagi mai,
Bohot achha lagta hai hame muskurana aapka…!



Ek Gujarish Hai Tujhse Zara

Ek Gujarish Hai Tujhse Zara Tham Ke Barasna,
Aa Jaaye Jab Mera Mehboob To Phir Jamm Ke Barasna,
Yun Pehle na Barasna Ki Wo Aa na Sakey,
Aa Jaaye Mere Pass To Itna Barasna Ki Wo Ja Na Sakey…

Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki,

Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki,
Aur Koi Hasrat Nahi Hai Tere Deewane Ki,
Shikva Mujhe Tujhse Nahi Khuda Se Hai,
Kya Zururat Thi Tujhe Itna Khubsoorat Banane Ki…

Soch raha tha k jawab

Soch raha tha k jawab kya bheju,
aap jaise dost ko toofa kya bheju,
guldasta bhejna to bewakufi hogi,
kyu k jo khud gulab hai use gulab kya bheju…?

Dil Dhadkan Aur Ik Tu

Dil Dhadkan Aur Ik Tu Sanam…
Dil Mein Dhadkan Hai…
Dhadkan Mein Hai Aahat Teri…
Ik Yahi Arzoo Kafi Hai Dhanwant…
Iskadar Zindgi Guzarti Hi Jayegi…

Iskadar Ishq Mein

Iskadar Ishq Mein Mashhoor Huye Hum…
Ik Tadap Si Rahi Bas Mazboor Huye Hum…
Chahat Ke Is Bazaar Mein Do Pal Sahi…
Teri Hasti Palko.n Ka Saroor Huye Hum…
Wo Bhi Din Tha Tum Kaha Karte The…
Hamara Zikar Hota Tera Garoor Huye Hum…
Ye Bhi Teri Chahat Hai Wo Bhi Teri Chahat Thi …
Ik Pal Thi Nazdekiya.n Ik Pal Door Huye Hum…
Teri Ankho.n Ke Aaieeno.n Mein Aks Mera Tha…
Ik Thokar Lagi Dhanwant Choor Choor Huye Hum…


Jab Jab Aata Hai Ye

Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Hoti Hai Sath Humdum,
Is Mausam Mein Nahi Karienge Yaad Tujhe Ye Socha Hai Humne…
Par Phir Socha Ki Baarish Ko Kaise Rok Paayeinge Hum….

Aapki Ada Se Hum Madhosh

Aapki Ada Se Hum Madhosh Ho Gaye
Aap Ne Palat Kar Dekha Tho Hum Behosh Ho Gaye
Yehi Ek Baat Kehni Thi Aapse
Na Jaane Kyun Aapko Dekthe Hi Hum Khamosh Ho Gaye…

jagaaya unhone aisa ke

jagaaya unhone aisa ke aaj tak so na sakke
Rulaaya unhone aisa ke sabke saamne ro bhi na sakke
Jaane kya baat thi unn mein….
Jabse maana unhe apna tabse kisi ke ho na sake…

Kaash woh samajthe is

Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko
Tho yun humein ruswa na kiya hotha
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein
Bas ek baar humein samaj-liya hota…

Soch lene se pahley mein

Soch lene se pahley mein kar arz deti huin
shayari me yaaron dil ke raaz khol deti huin
kuch apni kuch unki kahaani bahut hain
mila mila kar kissey mein duniya ko bol deti hun

Ham apne pyaar ko samjhate

Ham apne pyaar ko samjhate bhi to kaise samjhate,
ham apne is jajbaat ko samjhate bhi to kaise samjhate…..
theher jaatin hain meri jubaan unke deedar k saath hi,
ab ye baat ham unhe samjhate bhi to kaise samjhate!!!!!

Jadu Hai Teri Har Ek Baat Me

Jadu Hai Teri Har Ek Baat Me
Yaad Bahut Aate Ho Din Aur Raat Me
Kal Jab Dekha Tha Mene Sapna Raat Me
Tab Bhi Apka Hi Hath Tha Mere Hath Me..

Raat ka andhera kuch

Raat ka andhera kuch kehna chahta hai….
yeh chand chandni ka sath rehna chahta hai…
hum to tanha hi khush the…
mager pta nhi kyu yeh dil ab kisi ka sath rehna chahta hai…

Phool khilte hai bahaaron

Phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi toh pyaar javaan hota hai,
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Yeh fasaana toh nigaahon se bayaan hota hai. ..

Anjaan ek saathi ka iss dil

Anjaan ek saathi ka iss dil ko intejar hai,
Pyasa hain ye aankhen aur dil bekarar hai,
Unke saath mil jaye to har raah aasan ho jayegi,
Shayad issi anokhey ehsaas ka naam Pyaar hai…


Aapki Zindagi mein kabhi

Aapki Zindagi mein kabhi koi gam na ho
Aapki Aankhe kabhi nam na ho
Aapko mile Zindagi ki har khushi
Bhalehi uss khushi mein hum na ho

Pyaar ki aanch se to patthar

Pyaar ki aanch se to patthar bhi pighal jata hai,
Sache dil se sath de to naseeb bhi badal jata hai,
Pyaar ki rahon par mil jaye sacha hamsafar,
To kitna bhi gira hua insaan bhi sambhal jata hai…

Phool khilte hai bahaaron

Phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi toh pyaar javaan hota hai,
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Yeh fasaana toh nigaahon se bayaan hota hai.

Teri aankhon se kaash

Teri aankhon se kaash koi ishara to hota
Kuchh hi sahi ik jeene ka sahara to hota
Tod dete duniya ki hadon ko ham
Ik baar toone mohabbat se pukara to hota…