Wednesday 29 August 2012

Abhi is taraf na nigah kar

Abhi is taraf na nigah kar main Ghazal ki palkain sanwar loun,

Mera lafz lafz ho aaina tujhay aainay me utaar loun,
Agar aasman ki numaishon me mujhe bhi izn - e - qyaam ho,

to mein moutiyon ki dukaan se teri baaliyan teray haar loun,
Main tamam din ka thaka hua main tamam shab ka thaka hua,

Zara thehar ja isi morr par teray sath shaam guzar loun,
Kai ajnabi teri rah kay mere pas say youn guzar gaye,

Jinhain dekh kar ye gumman hua tera naam le kar pukaar loun…


No comments:

Post a Comment