Saturday 17 November 2012

True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


True Lines


teri badmash

teri badmash nigaho'n ki bebakiyan, 
tere hotho'n ki chhalakti hui madhoshiyan, 

meri neeyat ka dariya baar-baar rukh badle, 
uff yeh teri qaatil angdayiyan, 

kachhi ambiya si kuchh meethi kuchh khatti, 
kanakhiyon se teri shokh isharebaziyan,

mujhe shayar bana dene ki saazish me, 
chaandni raat tum aur yeh veeraniyan, 

muhabbat seenchne lagi hai aankho'n ko, 
geele takiye pe ashqo'n ki nishaniyan, 

teri badmash nigaho'n ki bebakiyan ♥


Bahut khush-naseeb hai wo

Bahut khush-naseeb hai wo jinhe tumsa yaar mila~
mera kya hai har Raah me mujhe tu bekraar mila ~!!

mai tadaptii hu aaj bhi tumhari yaad me~
aaj bhi din nikla aur tumhara intajaar mila~!!

meri raaton ki tanhai bhi jara mahakti hai~
mahak me bhi tere gesuon ki khushbu ka ehsas mila~!!

aaj bhi baithi hu teri yadon me kahin khoyi hu aaj bhi~
tere liye mere dil me ek pyaar mila~!!

Aisa Raahi hu mai jiski manjil aasaan nahi fir bhi~
kyon dil mera manjil ko bekarar mila~!!


Meri zindagi mere sath chal,

Meri zindagi mere sath chal,

Tu thaam k mera hath chal,

Mere hath me Tu hath de,

Tu Umer bhar mera sath de,

Tujhy dekhna meri arzoo,

Tujhy sochna meri justjoo,

Mujhy din de apny khayal ka,

Mujhy apny qurb ki raat de,

Mere hath me Tu hath de,

Tu umar bhar mera sath de 


Koi Aisa Pal Bhi Huwa Karey

Koi Aisa Pal Bhi Huwa Karey

Main Kahoon To bas wo suna karey

Meri Fursatien Mere Mashghaley

Sabhi Apne Naam Likha Karey

Koi Baat Ho Kisi Shaam Ki

Koi Ziker Ho Kisi Raat Ka

Jo sunanay bethoon use kabhi

Wo sunay to sun ke hansa kere

jo main kahoon chaloo us nagar

jahan jugnoon ka hujoom ho

Wo palat ke dekhay meri taraf

Aur mujhko pagal kaha kere...!!


Wo Saamne Nahin Par

Wo Saamne Nahin Par…Deedaar Karti Hun 
Wo Aayenge Nahi Par...Intazaar Karti Hoon 

Deewaangi Mein Dil Ko Beqaraar Karti Hoon
Usse, Haan Usse Mai Bahut Pyaar Karti Hoon 

Kehti Hain Dhadkane Ye Meri…Dil Ka Qaraar Hai Wo
Kaise Bhulaoon Usko DIL Se…Haan Pehla Pyaar Hain Wo
Marke Bhi Kam Na Hoga…Dekho…Aisa Khumaar Hai Wo 

Wo Aaj Bhi Mere Hai…Iqraaar Karti Hoon 
Wo Ayenge Nahi Par Intazar Karti Hoon.. 

Thursday 25 October 2012

Wo jo Roop "

Wo jo Roop " Zer-e-Naqaab" Hai,,
Usay Dekhna mera " Khwaab " Hai,,


Jo mila Hai " Hijer " ki shaqal mein,,
Meri " Chahton " ka Azaab Hai,,


Jisay dekh kr main "Tarrap" utha,,
Teri Aankh mein wo " Hijaab " Hai,,


Meray paas Hai meri " Tishnagi ",,
Teray paas "Jaam-e-shraab" Hai,,


Tera piyar Hai meri " Shayeri ",,
Tera " ISHQ " meri " kitaab " Hai. . . . . .!


Agar Kaho To Haal

Agar Kaho To Haal Dil Ka Sunaaon Tumko
Tamam Umar Samne Bithaaon Tumko

>Mere Zakhmon Ka Haal Poocho Ager Jaan-e-Jaan
To Ek Ek Zakhm Ki Tafseel Sunaaon Tumko

>Mout Ki Neend Se B Gehri Ek Neend Hoti Hai
Tere Baazuon Ka Ho Takya To Dikhaaon Tumko

>Yehi DUA Hai K Wo Waqt Aaye Ek Baar Phir
Tum Jo Rootho To Hath Jor Kr Manaaon Tumko

>Hr Shakhs Main Mujhe Ek Raqeeb Nazar Aata Hai
Bol Ae Mere?HUM NAWA? Kis Kis Ki Nazar Se Bachaaon Tum ko.


Kaun Ai But Hai

Kaun Ai But Hai Tu Khuda Jaane
Kufr Kya Shai Hai Koi Kya Jaane

Dil Ko Poochha Jo Main Ne Woh Bole
Kahin Hogaa Meri Balaa Jaane

Ek Hi Hain Khuda Wa But Zaahid
Wohi Mushtarak Hai Jo Khuda Jaane

Ishq Hai Khoob Shughl Samjhe Ham
Koi Uss Ko Na Jaane Yaa Jaane..!!


Tumhara Kehna Hai

Tumhara Kehna Hai
Tum Mujhey Be Panha Shiddat Se Chahtay Ho
Tumhari Chahat
Visaal Ki Akhri Hadhon Tak
Meray Faqat Meray Naam Hogi
Mujhey Yaqeen Hai,Mujhey Yaqeen Hai
Magar Kasam Khanay Walay!!!
Tumhari Ankhon Main Aik Til Hai


Pyaar Ki Baton Main

Pyaar Ki Baton Main Radeef Ya Kafiya Nahi Hota
Kab Kya Kahane Ko Dil Chahe Kuchh Pata Nahi Hota
Kabhi Kabhi Yoon Huya Sab Se Zyada Radeef Aur
Kafiya Ki Baat Huyee Bas Yoon Hi Dil Main Ye Khayal Aa Gaya
Ahsas-E-Ishq Main(Me) Kaise Likhoon Tu
m Kaise Parho
Pyaar Bas Ekk Zazba Hai Jo Kabhi Wakaya Nahee Hota
Maine Jaan De Dee Agar Us Ne Bhi Nind Khoyi Hain
Pyaar Kee Is Dukan Main Kisee Ko Nafa Nahi Hota


Mujhe Khabar Hai

Mujhe Khabar Hai wohi Aik Baat Likh Doon Ga
Tumhare Husan Ko Char Chand Likh Doon Ga
Tumhari Aankhen Jo Sharma Kar Kahen Gi Mujh Se
Tumhare Honton Pe Wo Dil Ki Baat Likh Doon Ga
Tumhain Baitha Ke Apni Aankhon Ke Saamne Jaana
Nikalte Chand Ki Qismat Main Maat Likh Doon Ga ..!!


Teri baahon ki tapish

Teri baahon ki tapish main pighalne laga hon 
Teri sanson ki mehek main sulagne laga hon,

Raat ki tanhaai main lipti khumaar ki baatein 
Tere baaton ki kashish main machalne laga hon,

Sulagti raat ki bikharti chandni main hum-tum 
Behekne lage jazbaat aur bhadakne laga hon,

Ruan-ruan tere pyaar main sarabor hone laga 
Tere baahon ke gheron main dhadakne laga hon ,

Tere sath bitaai lamhon ki kasak seene main 
Zindagi jeene ki “aarzoo“ main tadapne laga hon..!!!


Kajra muhabbat wala

Kajra muhabbat wala ankhion me aca dalaa...kajre ne le li meri jaan hai ree mai tere qurbaan..!
Motar na bangla maangu jhumka na haar maangu...dil ko churaane wale dil ka qarar maangu,
saiyan be dardi mere thoda ca payar maangu...
Qismat bana de meri duniya basa de meri...
Kar le saga
ai meri jaan!
Hi ree mai tere qurbaan...!


Saturday 13 October 2012

Khaali Jaam Liye

Tumhari Yaad Aati Hay

Bachpan Ka Zamana Hota Tha

Har Kisi Ki



Dil lagane se pehle

Dil lagane se pehle usne muje roka na tha.
Mera pyar tha saccha koi dhoka na tha.

Ek lamhe me wo humse ristha tod lege.
khwabo me bhi humne kabhi ye socha na tha.

Bhula diya usne ek pal me muje,
Jiski yaad me me raat bhar sota na tha..

Tolate hai daulat se har rishte ko aaj,
par pehle to aisa kabha hota na tha.

Gairo ke gham me bhi hua me sarik,
Par mere asko ko to apno ne bhi pocha na tha.

Logo ne kyu ujaad diya chaman mera,
Maine kisi ke aagan ka suman nocha na tha. 



Jab Bhi Tera Sanam

Jab Bhi Tera Sanam Ham Yoon IntezaarKarte Hain
Har Ghadi Mein Zinda Hote Ham Har Ghadi Mein Marte Hain.
In Nazron Ko To Pehle Bhi Hai Ho Chuka Ye Dhokha
Fir Khwaab Tum Na Niklo Chooney Se Ham Darte Hain.
Teri Chaahat Mein Jag Tha Choda Ab Mehkashi Bhi Chhooti
Sab Jaam Mehfilon Ke‚Â Ashkon Se Ham Bharte Hain.
Hai Chaand Bhi Bewafaa Raaton Ko Dagaa Deta
Ek Ham Hi Roz Yaaron Shab Ko Sahar Karte Hain.
Har Pal Mein Jaise Jaanam Beeti Ho Umr Saari
Kuch Is Tarah Se Lamhien Teri Furkat Ke Guzarte Hain.
Zaroorat Nahin Hai Humko Dair-O-Haram Jaane Ki
Suna Teri Ik Nazar Se Sau Naseeb Sanvarte Hain.
Poocho Nahin Tum Hamse Adaaein Unki ‘Khayal’
Wo Nazaron Ke Raaste Se Seene Main Utarte Hain.


Tujh Ko Chahe Aur

Tujh Ko Chahe Aur Tera Hi Intezaar Kare
Pagal Hai Ye Dil Bas Tujhi Se Pyar Kare
Teri Yaad Aye To Dhoonday Tujh Ko Har Taraf
Tujh Ko Bhi Qaraar Nahi Khud Ko BhiBeqaraar Kare
Pagal Hai Ye Dil Bas Tujhi Se Pyar Kare
Tujh Ko Chahay Tujh Pe Mitne Ki Tamanna Ye Kare
Tujh Say Se Milne Ki Tamana Kare Bas Our Kuch Na Mange
Pagal Hai Ye Dil Bas Tujhi Se Pyar Kare..


Kisi Nazar Ko Tera,

Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Kahaan Ho Tum Ke Ye Dil
Bekraar Aaj Bhi Hai
O Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Wo Waadiyaan, Wo Fizaayen
Ke Hum Mile The Jahaan
Wo Waadiyaan, Wo Fizaayen
Ke Hum Mile The Jahaan
Meri Wafaa Ka Wahin Par
Mazaar Aaj Bhi Hain
O Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Na Jaane Dekh Ke Kyoon
Un Ko Ye Huaa Ehsaas
Na Jaane Dekh Ke Kyoon Un Ko
Ye Huaa Ehsaas
Ke Mere Dil Pe Unhen
Ikhtiyaar Aaj Bhi Hai
O Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Wo Pyaar Jis Ke Liye Humne
Chhod Dee Duniyaa
Wo Pyaar Jis Ke Liye Humne
Chhod Dee Duniyaa
Wafaa Ki Raah Mein Ghaayal
Wo Pyaar Aaj Bhi Hai
O Wo Pyaar Jis Ke Liye Humne
Chhod Dee Duniyaa
Yakeen Naheen Hai Magar
Aaj Bhi Ye Lagtaa Hai
Yakeen Naheen Hai Magar
Aaj Bhi Ye Lagtaa Hai
Meri Talaash Mein Shaayad
Bahaar Aaj Bhi Hain
O Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Na Poochh Kitne Mohabbat Ke
Zakhm Khaaye Hain
Na Poochh Kitne Mohabbat Ke
Zakhm Khaaye Hai
Ke Jin Ko Soch Ke Dil
Sogvaar Aaj Bhi Hai
O Wo Pyaar Jis Ke Liye Humne
Chhod Dee Duniyaa
Wafaa Ki Raah Mein Ghaayal
Wo Pyaar Aaj Bhi Hain
Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Kahaan Ho Tum Ke Ye Dil
Bekraar Aaj Bhi Hain