Saturday 13 October 2012

Khaali Jaam Liye

Tumhari Yaad Aati Hay

Bachpan Ka Zamana Hota Tha

Har Kisi Ki



Dil lagane se pehle

Dil lagane se pehle usne muje roka na tha.
Mera pyar tha saccha koi dhoka na tha.

Ek lamhe me wo humse ristha tod lege.
khwabo me bhi humne kabhi ye socha na tha.

Bhula diya usne ek pal me muje,
Jiski yaad me me raat bhar sota na tha..

Tolate hai daulat se har rishte ko aaj,
par pehle to aisa kabha hota na tha.

Gairo ke gham me bhi hua me sarik,
Par mere asko ko to apno ne bhi pocha na tha.

Logo ne kyu ujaad diya chaman mera,
Maine kisi ke aagan ka suman nocha na tha. 



Jab Bhi Tera Sanam

Jab Bhi Tera Sanam Ham Yoon IntezaarKarte Hain
Har Ghadi Mein Zinda Hote Ham Har Ghadi Mein Marte Hain.
In Nazron Ko To Pehle Bhi Hai Ho Chuka Ye Dhokha
Fir Khwaab Tum Na Niklo Chooney Se Ham Darte Hain.
Teri Chaahat Mein Jag Tha Choda Ab Mehkashi Bhi Chhooti
Sab Jaam Mehfilon Ke‚Â Ashkon Se Ham Bharte Hain.
Hai Chaand Bhi Bewafaa Raaton Ko Dagaa Deta
Ek Ham Hi Roz Yaaron Shab Ko Sahar Karte Hain.
Har Pal Mein Jaise Jaanam Beeti Ho Umr Saari
Kuch Is Tarah Se Lamhien Teri Furkat Ke Guzarte Hain.
Zaroorat Nahin Hai Humko Dair-O-Haram Jaane Ki
Suna Teri Ik Nazar Se Sau Naseeb Sanvarte Hain.
Poocho Nahin Tum Hamse Adaaein Unki ‘Khayal’
Wo Nazaron Ke Raaste Se Seene Main Utarte Hain.


Tujh Ko Chahe Aur

Tujh Ko Chahe Aur Tera Hi Intezaar Kare
Pagal Hai Ye Dil Bas Tujhi Se Pyar Kare
Teri Yaad Aye To Dhoonday Tujh Ko Har Taraf
Tujh Ko Bhi Qaraar Nahi Khud Ko BhiBeqaraar Kare
Pagal Hai Ye Dil Bas Tujhi Se Pyar Kare
Tujh Ko Chahay Tujh Pe Mitne Ki Tamanna Ye Kare
Tujh Say Se Milne Ki Tamana Kare Bas Our Kuch Na Mange
Pagal Hai Ye Dil Bas Tujhi Se Pyar Kare..


Kisi Nazar Ko Tera,

Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Kahaan Ho Tum Ke Ye Dil
Bekraar Aaj Bhi Hai
O Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Wo Waadiyaan, Wo Fizaayen
Ke Hum Mile The Jahaan
Wo Waadiyaan, Wo Fizaayen
Ke Hum Mile The Jahaan
Meri Wafaa Ka Wahin Par
Mazaar Aaj Bhi Hain
O Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Na Jaane Dekh Ke Kyoon
Un Ko Ye Huaa Ehsaas
Na Jaane Dekh Ke Kyoon Un Ko
Ye Huaa Ehsaas
Ke Mere Dil Pe Unhen
Ikhtiyaar Aaj Bhi Hai
O Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Wo Pyaar Jis Ke Liye Humne
Chhod Dee Duniyaa
Wo Pyaar Jis Ke Liye Humne
Chhod Dee Duniyaa
Wafaa Ki Raah Mein Ghaayal
Wo Pyaar Aaj Bhi Hai
O Wo Pyaar Jis Ke Liye Humne
Chhod Dee Duniyaa
Yakeen Naheen Hai Magar
Aaj Bhi Ye Lagtaa Hai
Yakeen Naheen Hai Magar
Aaj Bhi Ye Lagtaa Hai
Meri Talaash Mein Shaayad
Bahaar Aaj Bhi Hain
O Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Na Poochh Kitne Mohabbat Ke
Zakhm Khaaye Hain
Na Poochh Kitne Mohabbat Ke
Zakhm Khaaye Hai
Ke Jin Ko Soch Ke Dil
Sogvaar Aaj Bhi Hai
O Wo Pyaar Jis Ke Liye Humne
Chhod Dee Duniyaa
Wafaa Ki Raah Mein Ghaayal
Wo Pyaar Aaj Bhi Hain
Kisi Nazar Ko Tera,
Intezaar Aaj Bhi Hai
Kahaan Ho Tum Ke Ye Dil
Bekraar Aaj Bhi Hain