Friday 24 August 2012

teri ulfat ne toh diwana

teri ulfat ne toh diwana bana rakha hai,
aur logo ne bhi afsana bana rakha hai,

aandhiyaan tez chalein bujh na sakega phir bhi,
khoon-e-dil se jo diya hum ne jala rakha hai

unn se khud unnki jafaon ka gila kai karein,
hum ne aanhon ko bhi seene mein daba rakha hai

woh joh kaatil hai sitamgar hai mohabbat ka meri,
hum ne unwaan-e-gazal ussko bana rakha hai

ban ke anjaan sar-e-bazm woh mujh se bole,
ishq mein kis ke bura haal bana rakha hai

kaun kehta hai tujhko bhool gaya hai dil,
teri yaad ko toh humne emaan bana rakha hai..


No comments:

Post a Comment