Monday 10 September 2012

Jo kabhi teri nazar se

Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kartey hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kartey hain

Hum kisi se mohabton ka dawa to nahi kartey
haan magar wafaon pe hum mar jaya kartey hain

Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kartey hain

Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi katey
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya kartey hain

Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahi bante
woh chup chap se dil main utar jaya kartey hain


No comments:

Post a Comment