Saturday 18 August 2012

'( Tha Main Neend me

:'( Tha Main Neend me Aur Mujhe Itna Sajaya ja Raha tha :'(
:'( :'( Bade hi Pyaar se Mujhe Nehlaaya Ja raha Tha :'( :'(
Na jane tha wo kounsa ajab khail mere Ghar me,
Baccho ki tarah mujhe Kaandhe pe uthaya ja raha tha,
Tha paas Mere mera Har Apna us waqt,
Phir bhi mai har kisi k muh se bulaya Ja raha tha,
Jo kabhi daikhte bhi na the Muhabbat ki Nigah se,
Un k dil se bhi pyaar mujh pe lutaya ja raha tha,
Maloom nahi hairan tha har koi mujhe sote hue Daikh kar,
Zor zor se ro kar Mujhe hasaya Ja raha tha,
Kaanp uthi meri Rooh mera wo makan Daikh kar,
Pata chala Jab mujhe Dafnaya Ja raha tha,
Ro pada phir main bhi mera wo Manzar daikh kar,
Jahan mujhe hamesha k liye SulayaJa raha tha,
Muhabbat ki inteha thi jin dilo me mere liye,
Usi ghar se Aaj main aik pal me bhulaya Ja raha tha,
:'( Tha Main Neend me Aur Mujhe Itna Sajaya ja Raha tha :'(
:'( :'( Bade hi Pyaar se Mujhe Nehlaaya Ja raha Tha[:'( :'(


No comments:

Post a Comment