Thursday 9 August 2012

dil mein ishq-e-nabi

dil mein ishq-e-nabi ki ho aisi lagan
ruuh tadapti rahi dil machalta rahe
zindgi ka maza hai ke har saans se
ya muhammad muhmmad nikalta rahe
noor ke motiyon ki ladi ban gayi
ayaton se milata raha ayatayein
phir jo dekha toh naat-e-nabi ban gayi
jo bhi aansoo bahe mere mehboob ke
sab ke sab abr-e-rehmat ke chheente[छींटे] bane
chha gayi raat, jab zulf lehra gayi
jab tabasum kiya, chandni ban gayi
yeh toh maan ke jannat hai bagh-e-haseen
khubsurat hai sab khuld ki sar zameen
husn-e-zannat ko phir jab sameta gaya
sarwar-e-ambiya ki gali ban gayi
jab chirah tazkira unnke rukhsaar ka
waduha pad liya wal qamar keh diya
suatoon ki tilawat bhi hoti rahi
naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi
sab se bekas tha bebas tha mazbuur tha
unnko reham aa gaya mere halaat par
meri azmat meri bebasi ban gayi
ya muhammad muhammad main kehta raha..



1 comment:

  1. very bad image plz remove it. This nude pic is so rubbish

    ReplyDelete