Thursday 2 August 2012

Aaj dulhan k lal jode me

Aaj dulhan k lal jode me usse uski sakhiyon ne sajaya hoga,
Meri jaan k gore haathon ko mehndi se sajaya hoga….
Bht gehra chadha hoga mehndi ka rang,
us mehndhi me usne mera naam chupaya hoga…
Reh-reh k ro padi hogi,
Jb usko mera khayal aaya hoga….
Khud ko dekha hoga jb aaine me,
to akks mera b nazar aya hoga…
Bht pyaari lag rahi hogi vo,
Aaj dekh kr usko chand b sharmaya hoga …
Aaj meri jaan ne apne maa baap ki izzat ko bachaya hoga,
Usne beti hone ka hr farz nibhaya hoga….
Majbur hogi wo sb se zyada,
sochta hu kis tarah usne khud ko samjhaya hoga….
apne haathon se hmare khaton ko jalaya hoga…
Khud ko mazbut bana kr meri yaadon ko mitaya hoga…
Bhukhi hogi wo jaanta hun me,
Mere bina usne kuch na khaya hoga…
Kaise sambhala hoga khud ko,
Jb kisi or k baho me khud ko paya hoga…

No comments:

Post a Comment